Ghazal Shayari




Teri aankhon kr isharon ki, bohat yad aayi..

Ghazal Shayari

Teri aankhon kr isharon ki, bohat yad aayi,
Aaj pat-jharr mein, baharon ki bohat yad aayi,
Jab larkhraata hua nikla, kabhi mehkhaney se,
Teri baahon ke sahaaron ki, bohat yaad aayi,
Jab bhi ponchhe hain, haathön se ye aansu apne,
Teray daaman ke kinaron ki, bohat yaad aayi,
Aaj iss ujray huye sheher me, mohsin humko,
Apnay bichray huye yaaron ki, bohat yaad aayi..


Mere hamsafar, mere saayeba’n..

Ghazal Shayari

Mere hamsafar, mere saayeba’n,
Meri zindagi, mera kul jahan,
Hain raah hayaat ke silsley,
Kabhi furqtain, kabhi faasley,
Rahen tere sath rawaa’n dawaa’n,
Mere karwaan, mere kaafley,
Tu hi ru’bru, tu hi hai nihaa’n,
Mere hamsafar, mere saayeba’n,
Teri mulaqaat ki khawhishen,
Teri aarzuu, teri chahtein,
Shab-o-roz teri justujuu,
Tujhe dhoondti phiroon ku’bkuu,
Tu mera yakeen, to kaheen gumaa’n,
Mere hamsafar, mere saayeba’n..


Kaho agar to bhulaa doon tum ko..

Ghazal Shayari

Kaho agar to bhula doon tum ko,
Sab kuch bataa kar rulaa doon tum ko,
Bohat dushwaar guzrey ga mujh per,
Kaho agar to sazaa doon khud ko,
Kyun ab roz roz ka rona rahe aakhir,
Aj hi kyun na mitaa doon dukh ko,
Kaho agar to bhulaa doon tum ko..


Yahan khuloos bikta hai yahan pyar bikta hai..

Ghazal Shayari

Yahan khuloos bikta hai yahan pyar bikta hai
Yahan dushman ke hathon yaar bikta hai
Yahan insaan ka kaatil insaan milta hai
Yahan oonchey logon ka mizaar bikta hai
Yahan lagte hai bazaron mein sharab ke theiley
Yahan khuda ki khudai ka ikhtiyaar bikta hai
Yahan kha ke bhi sab kisi ke pait nahin bhartey
Yahan insaniyat bikti hai yahan meyaar bikta hai..


Teri zaat ke shajar se yun mera chaman raha..

Ghazal Shayari

Teri zaat ke shajar se yun mera chaman raha,
Wo be-samar shajar magar Saaya Ifgan raha,
Tera mizaaj waqti taqazo’n pe munhasir,
Mere mizaaj par wahi pehla zaman raha,
Ye medaan jahan aaj kal hy hashr ka smaa’n,
Ik dor mein kbhi tha kitna pur-aman raha,
An ginat silwaten ab tak hain par chuke’n,
Rishta hmara phir bhi hy ke be-shikan raha,
Atraaf-o-jawaanib toh mere pur-sukoon thy,
Dil tha ke jis me jalta shola-e-agan raha,
Thaama gulaab ko jo, phir toh chhor na sakay,
Umr bhr kaanto’n se yun rbt-e-chubhan raha,
Alfaaz bhi na kar sakay akaasi-e-mizaaj,
Ksh-ma-ksh me hr ghari mera hm-sukhan raha,
Mujrim qaraar de ke baa-izzat bari kiya,
Teri adaalato’n me bhi ajab ziman raha,
Be-misl khataao’n mein hun agarchy mein ‘Saadi’,
Zamana misaal de magar esa chalan raha..
(Saaya ifgun:hifaazat krny wala, Be-shikan:bagher kisi bal ke, Ziman:Qanoon)
Sadia Shakil


Wafa isko nahi kehte, Wafa kuch or hoti hai..

Ghazal Shayari

Wafa isko nahi kehte
Wafa kuch or hoti hai,
Mohbbat karne walo ki
Adaa kuch or hoti hai,
Tumhe dekha tumhe chaha
Tumhi se pyar kar bethe,
Suno pathar ke dil walo
Mohbbat aisi bhi hoti hai,
Main chahe ghum ka mara hu
Magar tumko na bhulunga,
Ke deewano ke hotho pe
Dua kuch or hoti hai,
Tadap uthegi ye duniya
Ke royega jab dil mera,
Ke dil se fir jo nikalti hai,
Badua kuch or hoti hai..


Bahaar rut mein ujrrey raasty..

Ghazal Shayari

Bahaar rut mein ujrrey raasty,
Takaa karo ge to ro paro ge,
Kisi se milney ko jab bhi sajan,
Saja karo gey tou ro paro ge,
Tumhary wadon ne yaar mujh ko,
Tabaah kiya hai kuch is tarah se,
Ke zindagi mein jo phir kisi se,
Dagha karo ge to ro paro ge,
Main janta hoon meri mohabbat,
Ujaarr de gi tumhein bhi aise,
Ke chand raton mein ab kisi se,
Mila karo gay to ro paro ge,
Barasti barish mein yaad rakhna,
Tumhein staayn gi meri ankhein,
Kisi walli ke mizaar par tum,
Dua karo ge tou ro paro ge..


Tere baghair kab zinda raha hoon main..

Ghazal Shayari

Jaanum teray baghair kab zinda raha hoon main,
Her peher her gharri yahan merta raha hoon main,
Dukh zindagi ko ghayal kertay rehay meri,
Ik kerb-e-musalsal se guzerta raha hoon main,
Jo log apni jan se aziz thhay mujhay,
Un ke wafa ko akser tarasta raha hoon main,
Bikhray jalay muqaam milay safer-e-hayat main,
Daaman ko apnay raakh se bharta raha hoon main,
Teri yaad ne bhi likh dee muqader main baykali,
Qismat ke iss khail pe hunsta raha hoon main,
Hain aashnaa yahan meray dardon ke qaaflay,
Bus inn ke dermiyan he chalta raha hoon main,
Rakhta hon her qadam main ab phoonk phoonk ker,
Apnay he saaye se bhi darta raha hoon main,
Aaj hoon main us jagah jahan manzil nahi Shaukat,
Raston se bewaja he larrta raha hoon main..
Shaukat Ali Khan


Chamakte Chand Ko Toota Howa Tara Bana Dala..

Ghazal Shayari

Chamakte Chand Ko Toota Howa Tara Bana Dala,
Meri Aawargi Ne Mujh Ko Aawara Bana Dala,
Yahan Par Hain Hazaron Ghar Gharon Mein Log Rehte Hain,
Mujhe Is Shehar Ne Galiyon Ka Banjara Bana Dala,
Main Is Duniya Ko Aksar Dekh Kar Heraan Hota Hoon,
Na Mujh Se Ban Saka Chota Sa Ghar Din Raat Rota Hoon,
Khuda Tune Kaise Yeh Jahan Sara Bana Dala,
Mere Malik Mera Dil Kyoun Tarapta Hai, Sulagta hai,
Teri Marzi Teri Marzi Pe Kiska Zor Chalta Hai,
Kisi Ko Gul, Kisi Ko Tune Angara Bana Dala….


Tere ehsas se mohabbat ki hai..

Ghazal Shayari

Tere ikhlas se mohabbat ki hai,
Tere ehsas se mohabbat ki hai,
Tu mere paas nahi hai phir bhi,
Teri yaad se mohabbat ki hai,
Kabhi to tu ne bi mujhe yad kiya hoga,
Me ne un lamhaat se mohabbat ki hai,
Jin main hon teri meri batain,
Main ne un auqaat se mohabbat ki hai,
Aur mehky hon sirf teri mohabbat se,
Main ne un jazbaat se mohabbat ki hai,
Tujh se milna to ab khawab sa lagta hai,
Main ne tere intezar se mohabbat ki hai…


Kabhi sham dhal jaye!!

Ghazal Shayari

Kabhi sham dhal jaye
Koi rasta badal jaye
Kabhi ansoo nikal jaye
Koi deewar tham’on gi
Tum’hein phir sey bula’on gi
Khodi ko azma’on gi
Mein sach kehti hun meri jaa’n
Bohat ziada sata’on gi
Tum’hein mein yaad aon gi
Kabhi dil sey pukaro gey
Koi pal youn guzaro
Meri hi deed chaho gey
To meri yaad ka daman
Tumhara zabt torey ga
Tum’hein pal pal jalaye ga
Tum’hein itna sataye ga
Key sab sey dor ho key tum
Kabhi ansoo bahao gey
Bohat ziada satao gey
Bohat ziada rulao gey
Mujhey tum yaad aao gey


Muhabbat is qadar mushkil amal hai..

Ghazal Shayari

Muhabbat is qadar mushkil amal hai
Itni zalim, itni sangdil hai
Agar maloom ho jata
To dil key agey hath rakh deti
Sar ko jhuka leti
Dil sey zidi bachey ko mana leti
Chaht’on ki rah itni kathin hai
Key apney ghair ho jatey hein
Dil mein dard bo jatey hein
Agar maloom ho jata
Bohat safak ho jati
Magar tum sey na ye sunti
Tum’hein mujh sey muhabbat hai
Kabhi tum sey na ye kehti
Mujhey tum sey muhabbat hai


Tum ko zabt kerna hai.!!

Ghazal Shayari

Tum ko zabt kerna hai
Zabt bhi kamal ka
Neend sey nedhal ho
Dard be-misal ho
Jag ker bta dena
Zakhm zakhm ho jao
Phir bhi muskura dena
Tum ko sabar kerna hai
Khod pey jabar kerna hai
Khar khar kerna hai
Intezar kerna hai
Is gulab lamhey ka
Aitbar jo dey ga
Ikhteyar jo dey ga


Bahir ki awaz’ein sun’na chahti hun.!

Ghazal Shayari

Bahir ki awaz’ein sun’na chahti hun
Lekin
Meray andar shor bohat hai


Jab jab sham dhaley gi..

Ghazal Shayari

Jab jab sham dhaley gi
Dil mein werani utrey gi
Ankh’ein bhar ain gi
Dil dard ki sorat dhal jaye ga
Jab tu rasta badal jaye ga
To jana’n……
Hum tanha jee paen gey
Ya… mar jain gey..???


Muhabbat karney wal’on ko kabhi tum aam mat samjho.!

Ghazal Shayari

Muhabbat karney wal’on ko kabhi tum aam mat samjho
Kabhi bhi aam mat jano
Bhaley sey hon magar in ko kabhi badnam mat jano
Muhabbat karney waley zeest ka ehsas hotey hein
Bohat hi khas hotey hein

Muhabbat char lafz’on ka sahefa hai.!

Ghazal Shayari

Muhabbat char lafz’on ka sahefa hai
Muhabbat ‘meem’ sey hai marg
‘Hey’ sey hadsa hai
Ye ‘bey’ sey be-kali hai aur ‘tey’ sey taj kant’on ka
Agar ye marg hai to marg sey kis ko mafar socho
Jo is ka hadsa jano to is sey kon bach paya??
Hai ’bey’ sey be-kali to be-kali saan’on pey hawi hai
Agar ye taj kant’on ka to sar per bhi sajta hai
Wo sar tan per nahi rehta
Muhabbat khoon mein doba hu aik dasht hai, gehri udasi hai
Muhabbat hai dua jesi , muhabbat karbala si hai

Muhabbat hai kisi nadeeda si zanjeer ki sorat..

Ghazal Shayari

Muhabbat hai kisi nadeeda si zanjeer ki sorat
Badan sey jo lipat ker
Is ki azadi ko demak ki tarha sey chat leti hai
Muhabbat hai saza jesi
Saza bhi wo jo matti ki lehat tak sath deti hai
Muhabbat wasal sey mashrut mat jano
Azal sey furqat’on key bab jesi hai
Muhabbat khawab jesi hai

Muhababt kam nahi hoti. . !

Ghazal Shayari

Koi kitna jatan kar le Muhababt kam nahi hoti. . !
Zamana is k aagay aahni dewar ban jaye
Aur us ki haath ik talwaar ban jaye
Muhabbat dar nahi sakti Daranay se
Nahi mitti mitanay se
Muhabbat ki banti nahi zamanay se
Ye apni jaan de kar bhi kabhi bedam nahi hoti
Koi kitna jatan kar le Muhababt kam nahi hoti. . !
Kabhi ye heer ka joban kabhi ranjhay ki wanjili hai
Kabhi khaaro’n bhara rasta, Kabhi ye phool jangli hai
Kabhi sheeree’n ki betabi, kabhi farhaad ka taisha
ye kuch kuch shehed jesi hai, maza hai is mein sam jaisa
Junoo’n hai qais ka, laila ki ye waraftagi hai
Khudi ka bhaid hai is mein
Muhabbat be-khudi bhi hai
Muhabbat hai khuda jesi, khudaai is mein shaamil hai
Sitara mat kaho is ko, muhabbat maah-e-kaamil hai
Aur is ki lou kabhi madham nahi hoti.
Koi jitna jatan kar le Muhababt kam nahi hoti. . !

Meray Ae Sheher-e-Muhabbat. . !

Ghazal Shayari

Teray chehray ki shafaq subha, saba choomti thi
Teri raato’n ki sayah zulf ghata choomti thi
Teri saanso’n se churaai thi gulabo’n ne mehek
Thi sitaro’n se siwa teri in aankho’n ki chamak
Meray ae sheher-e-Muhabbat Kabhi aabaad tha tu
Tu ne ik zod faramosh ko apna jana
Such samajh baithy thy sapnay ko na sapna jana
Ab tou kuch bhi nahi baaqi
Naa wo mein hoon na wo tu
mery ae sheher-e-Muhabbat
Kabhi aabad tha tu. . !

Wohi aksar khafa bhi hotay hain. . !

Ghazal Shayari

Jo mananay k fun se waqif hon
Wohi aksar khafa bhi hotay hain. . !
Jo baray ba-wafa se dikhty hain
Wo baray be-wafa bhi hoty hain
Jo theherty hain zeest ka haasil
Wohi lamhay saza bhi hoty hain
Hum ko itni khabar nahi hoti
Hum kisi ki dua bhi hoty hain
Jo bicherny ka wehem rakhtay hain
Wohi aksar juda bhi hoty hain. . !

Mein rah’guzar mein khari hui hoon. . !

Ghazal Shayari

Mein rah’guzar mein khari hui hoon. . !
Tumhari khatir arri hui hoon
Dukho’n se daaman wasee hai mera
Inhi mein pal k barri hui hoon
Kisi ki mujh ko nahi hai parwah
Mein tery dil mein jurri hui hoon. . !

Chandni raat ki pheli hui tanhai mein. . !

Ghazal Shayari

Chandni raat ki pheli hui tanhai mein. . !
Dil mein yaado’n ka dhuan ho to ghazal hoti hai. . !

Suno hum thak gaye hongy

Ghazal Shayari

Muhabbat mangny ki shae nahi jo maang li jaye
Kisi ko kab kahan ye raas aai hai
Ye hum se aaj kehty ho?
Suno Janaa’n! Tumhain bhi yaad to ho ga?
Yehi to ibtada mein hum bhi kehty thy
Magar tum ne tou is ki khud nafi kar di thi pal bhar mein
Kaha tha us gharri tum ne
Muhabbat mangny se mil bhi jati hai
Magar ye shart hai jo mangta ho dil se wo mangy
Aur hum ne akhir tum ko ye daulat sonp di lekin
Wafa tum kar nahi paaye
Tum ab aaye ho barso’n baad
Aur ye hum se kehty ho
K hum tum ko bhula baithy
Tumhary khat jala baithy
Humain laazim tha ye, Ta umer baithy rasta taktay
Gharri bhar ko nahi thaktay
Baja kehty ho, such kehty ho, kab inkaar hai hum ko
Suno hum thak gaye hongy. . !

Muhabbat neend sey jagey huay toofan jesi hai..

Ghazal Shayari

Muhabbat neend sey jagey huay toofan jesi hai
Kisi simtey hoay heyjan jesi hai
Muhabbat ko kabhi kamzor mat samjho

Agar tum ko muhabbat thi

Ghazal Shayari

Agar tum ko muhabbat thi
To tum ney raast’on sey ja ker pocha kiun nahi manzil key barey mein
Hawa’on pey koi pegham tum ney likh diya hota
Darkht’on per likha wo nam tum ney kiun nahi dhonda..?
Wo thando oss mein bhega, mehakta sa gulab aur mein
Meray dhani sey anchal ko tumhara barh key chu lena
Churana rang titli key, kabhi jugnoo ko pa lena
Kabhi kaghaz ki kashti per bnana dil ki sorat aur is per khob likh jana
Kisi bhanwrey ki sokhi aur kali’yon ka wo urna
Tumh’ein bhi yaad to ho ga?
Agar tum ko muhabbat thi ye sari baat’ein bhool saktey thay?
Nahi jana’n!
Muhabbat tum ney dekhi hai muhabbat tum ney pai hai
Muhabbat ki nahi tum ney……

Muhabbat mein muhabbat hi hamesha shart hoti hai

Ghazal Shayari

Muhabbat mein muhabbat hi hamesha shart hoti hai
Magar kehtay hein kuch zimni si shart’ein bhi zarori hein
Koi wada karo to dil ki dharti per likho is ko
Jigar sey roshnai lo
Qalam jazb’on ka thamo aur dharkan sey gawahi lo
Ye jan jaye magar wadey pey koi anch na aaye
Muhabbat key safar mein pehli serhi per
Hamesha sey, khasara pehlay sey taiyar milta hai
Aur ungli tham ker chalta hai, jab tak saans baki hai
Muhabbat kernay waley mur ker dekha hi nahi kertay
Muhabbat kernay waley agar thak bhi jain to nahi ruktey
Bhaley sey per’on key chaley, dehakti rait sulghaye
Sawa nezay pey soraj an utrey aur jhulsaye
Key in key bal-muqabil to dehakta toor hota hai
Muhabbat to bohat anmol hoti hai magar is mein
Wafa mashrut hoti hai

Larkiyo! Muhabbat key khawab dekhti kiun ho.?

Ghazal Shayari

Larkiyo! Muhabbat key khawab dekhti kiun ho.?
Tum ko kiya nahi maloom?
Khawab dekhney wali jo bhi ankh hoti hai
Wo udas rehti hai, wo naras rehti hai
Ankh key darech’on mein jo bhi charag rakhtey hein
Bad-guman raat’on ka zaiqa wo chaktey hein
Un key dil ki rah’ein bhi be-nishan rehti hein
Be-aman rehti hein
Un key ghar key darwazey dastak’on sey anjaney
Aur samat’on ki gali ashna si ahhat sey, ajnabi rehti hai
Un key sary jewan mein,ik kami si rehti hai
Larkiyo! Muhabbat key khawab dekhti kiun ho.?
Tum ko kiya nahi maloom?

Azal sey hi muhabbat bad-gumani aur yakeen ko sath lati hai!

Ghazal Shayari

Azal sey hi muhabbat bad-gumani aur yakeen ko sath lati hai
Wafa jo ho koi key bewafa
Dono hi sorat mein
Zara si baat per, palra kabhi bhari, kabhi halka, kabhi yaksaa’n
Kabhi chahat kabhi jaghrey
Kabhi izhar per tuley
Kabhi dher’on gilay shikwey
Muhabbat kernay walo hosla rakho
Muhabbat to muhabbat hai aur is mein ye to hota hai
Kabhi paspa nahi hota
Kabhi pachtawa,muthi mein nahi rakhna
Kabhi mur ker nahi takna
Zamaney ki baat’on mein nahi’ein ana
Muhabbat to muhabbat hai
Ye amrat hai key zehar hai,is ko chakhna hai
Wafa’on ka hamesha man rakhna
Muhabbat per sada eman rakhna

Jo tum kehtay ho to man leti hun.!

Ghazal Shayari

Jo tum kehtay ho to man leti hun
Muhabbat tum ney ki ho gi
Magar jana’n
Muhabbat silsila dar silsila apney takaz’on mein muqeed hai
Tumh’ein bhi to pata ho ga?
Agar mehbob key mathey pey aye ik shikan tak bhi
Darar’ein an-ginat si chahney waley key dil per bhi ubhar ain
Lab’on ki muskurahat tor dey dam
Dharkan’ein be dam si ho jain
Ana mehbob key per’on taley rakh ker lagey meraj pa li hai
Isey rab ki jagha mat do magar…
Rab sey isey kam tar bhi mat jano
Ye tan mitti mein mitti ker key bhi is ko, manana jo parey is ko
Mana lena……..galey is ko laga lena
Jo tum kehtay ho man leti hun
Muhabbat tum ney ki ho gi



Muhabbat ko na janey do..

Ghazal Shayari

Muhabbat ko na janey do..
Agr tum char’on janib ghor sey dekho
To tum ko ye khabar ho gi
Zamana aik muthi khak sey barh ker nahi’n jana’n!
Agar ankh’on mein dalo gey
To benai gawao gey
Agar dil mein sambhalo gey,to tum jenay sey jao gey
Zamana aik muthi khak sey barh ker nahi’n jana’n!
Chu’o to hath melay hon
Chalo is per to dono’n peyr chaley hon
Hawas ney jal char’on simt daley hein
Aur is key rog kaley hein
Sambhal key jo chaley’ mano mukadar ke hai sikandar
Zamana aik muthi khak sey barh ker nahi’n jana’n!
Magar is khak ko agar koi dil ki ankh sey dekhay
To ik anmol heera’ samney apney wo paye ga
Hazar’on chand sey barh ker ujaley ley ey aye ga
Usey heran ker dey ga
Bari sey ho bari mushkil’ usey asan ker dey ga
Isi anmol heray ka nam muhabbat hai jana’n!
Muhabbat dil pey dastak dey to aney do
Muhabbta ko na janey do
Muqadar sey agr tum ko mil jaye to ganwana mat
Usay muthi mein band rakhna’ girana mat
Ye wo dolat hai jo ik bar
Gum ho key nahi milti
Ye wo khushbo hi jo her phool key dar per nahi jati
Muhabbat jab chali jaye kabhi wapis nahi ati
Muhabbat ko na janey do


Nahi’ein key bad bhi kehney ko sun’ney ko..!

Ghazal Shayari

Nahi’ein key bad bhi kehney ko sun’ney ko
Bohat sey lafz hotey hein
Magar in ko talashey ga wohi jo ba-hunar ho ga
Jo lafz’on mein chupi dharken sey jana’n ba-khabar ho ga
Nahi’en key bad bhi asbat ka imkan hota hai
Magar kuch log rastey mein hi himat har detay hein
Wo lafz’on mein chupay mani,chupey arman kesay jaan saktey hein
Key aksar hum nahi’en mein ‘han’ bhi rakhtey hein
Magar ik zid si hum ko tok deti hai
Ana dewaar ban key rok deti hai
Aur hum ye soch ker bhi har jatey hein
Key shayad samney wala
Hamarey dil mein jhanky ga
Nai’ein mein han ko bhanpey ga
Hamara hath thamey ga
Galey hum ko lagaye ga
Hamari maat ko jeet ker dey ga
Ye sar-garm geet ker dey ga
Magar aisa nahi hota
Nahi’en ko ley ker kuch lamhey
Laho ho jatey hein jana’n!
Wo jin ko sath chalna ho wohi kho jatey hein jana’n
Nahi’en key bad bhi kuch lafz hotey hein


Kisi key sath chalney aur dukh sukh ki sharakat ko..

Ghazal Shayari

Kisi key sath chalney aur dukh sukh ki sharakat ko
Muhabbat mat samjh lena
Muhabbat ka libada pani’yon key rang jesa hai
Muhabbat saat pardo’n mein niha’n ho ker ayaa;n hai
Ye haqeqat hai
Aur is ki khushbo’n ko hum dhanak mein dhond saktey hein
Magar ye bhi haqeqat hai
Key is ko jis ney paya hai
Wo apna aap kho betha
Ye mil ker bhi nahi milti
Kisi key sath chalney aur dukh sukh ki sharakat ko
Muhabbat mat samjh lena
Key jis ko cho liya jaye
Khuda wo ho nahi sakta
Muhabbat aisa mantar hai
Fana jo ho nahi sakta


Chaley aao..

Ghazal Shayari

Chaley aao
Wagarna dhoop ki chadar mein ye tan man
Jholas jaye ga to hum ko
Ghari mein raakh ker dey ga
Chaley aao
Abhi umeed ki palk’on pey roshan deep hein jana’n!
Agar ye bhujh gaye to tergi shab khoon marey gi
Tumhara nam dharkan mein abhi tak raks kerta hai
Hawa’on ney tumhara lims jo
Tum sey churaya tha… hamarey pas laya tha
Abhi wo lims baki hai
Bohat be-chain kerta hai
Laho mein beyn kerta hai
Chaley aao
Abhi tak chand mein chehra tumhara muskurata hai
Abhi kushbo ka qasid dil pey dastak denay ata hai
Hasee’n pegham lata hai
Abhi tak sab wohi kuch hai
Wohi chaht bahri baat’ein
Wohi larna jagharna piyar mein aur roth jana bhi
Ghari bhar mein, bohal jana aur akhir maan jan bhi
Tumh’ein wo phone ker key kehna jald aa jao
Ye dil tum bin nahi lagta
Tumhara jald ana aur wo sub kuch
Muhabbat aur sharart sey bharey lamhey
Abhi tak sub wohi kuch hai
Chaley aao..
Kahin hum gum na ho jain


Is ney kaha tum shehzadi ho.!

Ghazal Shayari

Is ney kaha tum shehzadi ho
Shehzadi bhi wo’key jis ko
Saat’on rang’on mein khushbo ko
Gondh key dala ho ga Rab ney, norani pekar ki sorat
Aik nazar tum dalo jis per
Pathar bhi ik bar to boley
Holey holey ankh’ein kholay
Wada kerta hun mein tum sey
Jo tum chaho, jo tum socho, jis shey ki ho khuahish tum ko
Apna tan man bech key bhi mein tum ko dun ga
Ik ishara ker key to dekho
Sara zamana war dun jana’n!
Tum ko jeet key dor thama ker
Apna sab kuch har dun jana’n!
Aur agar ye wada tor’on
Mujh ko jewan ras na aye
Doja mujh ko saans na aye
Is ney kaha tum shehzadi ho
Soch rahoi hun
Shehzadi kesi hoti hai?
Jesi mein hun
Shehzadi aisi hoti hai??


Aaj mein ney bhi kahrida hai barey chao sey ..

Ghazal Shayari

Aaj mein ney bhi kahrida hai barey chao sey
Saal-e-nuo ka ye bohat sada sa card
Teri janib sey phir is ko mein ney
Apney address pey hai arsal kiya
Ta key college ki mein sab sakhi’yon ko
Ja key dikha sak’on ye tohfa
Jis mein tehreer badal ker mein ney
Apney hath’on sey ye likha khod ko
Saal-e-nuo tum ko Mubarak jana’n


Udas lamho!kabhi batao.!!

Ghazal Shayari

Udas lamho!kabhi batao
Key meray hath’on ki gham mein dobi hui lakeer’on mein
Kiya khushi ki koi ghari hai?
Kiya reyet ankh’on mein’ khar dil mein
Thakan ka lejay sey aa lagi hai
Udaas lamho! Mein thak gae hun
Khushi ka thora sa dan dey do
Mujhey muhabbat ka man dey do


Is sey pehlay key ankh khul jaye..

Ghazal Shayari

Is sey pehlay key ankh khul jaye
Aa key hont’on sey’ meri aankh’on per
Koi anmool khuwab likh jao
Mera chehra gulaab leikh jao
Bad mein aa key apney hath’on sey
Mera jeewan sarab likh jao


Mumkin ho to….

Ghazal Shayari

Mumkin ho to….
Kali shab ki tasht ko dekho
Kitney sundar tarey hein
Lekin hein be-khawab azal sey
Shayad hijr key marey hein!


Be-kinar jazb’on ko..!!

Ghazal Shayari

Be-kinar jazb’on ko
Kab kinar milta hai?
Be-qarar soch’on ko ,kab qarar milta hai
Be-daiyar log’on ko, kab daiyar milta hai
Aaj kis key liye tum ney ye sawal pochey hein?
Aik pal ko socho to’
Be-khabar parind’on ko
Kab hawa’ein deti hein
Khushbo’on key sandesey
Ajnabi jazeer’on ka kab pata batati hein
In ko in key honey ka
Kab yakeen dilati hein
Tum ney jo bhi pocha hai
Hum jawab denay ka hosla agar rakhtey
Muztarib hi kiun hotey..??


Abhi bhi waqt hai..!!

Ghazal Shayari

Abhi bhi waqt hai
khuwab’on ko tabeer ker dalo
wafa ko apney mathay per likho
taqdeer ker dalo
kisi key pyar ko per’on ki tum zanjer ker dalo


Muhabbat’on ka khayal rakhna.!

Ghazal Shayari

Muhabbat’on ka khayal rakhna
Kahi’en na aisa ho be-dihani mein
tum hatheli ko khol dalo
hawa’ein sazish pey aan utre’in
to khushk pat’on sa hal ho ga
gulaab rut ka zawal ho ga
muhabbat’on ka khaya rakhna..


Muhabbat hadisa hai..

Ghazal Shayari

Muhabbat hadisa hai
Hadsy sey bach nikalney ki
Koi tadbeer kar lo is sey pehlay khuwab ho jao
Jisey hum hadsa kehtay hein
Jewan ko ghari bhar mein
Mita ker khak kerta hai
Koi ilzam dharta hai
Kabhi maazori’on key jal mein qaidi
Bana ker chor deta hai
Muhabbat hadsa hai
Hadsy sey bach nikalney ki
Koi tadbeer kar lo is sey pehlay khuwab ho jao


Bethay bethay likh raha hun ik kahani janey kiun..!!

Ghazal Shayari

Bethay bethay likh raha hun ik kahani janey kiun
Meri ankh’on sey hai ashq’on ki rawani janey kiun
Phir sey doba jar aha hai aj mera gham sey dil
Baat taza ho rahi hai ik purani janey kiun
Khod-bakhod aaye hansi aur rona aye apney aap
Meray dil pey hai kisi ki hukmrani janey kiun
Mar key bhi is ko bhula sakta nahi ‘Ikram Gul’
Na wafa, na baat, na morat suhani, na janey kiun


Aaj tor diye hein tu ney meray sapney..

Ghazal Shayari

Aaj tor diye hein tu ney meray sapney
Aaj tor diye hein wadey apney
Ab meray pas bhi kia reh gay hai
Laut jao gey ab tum bhi ghar apney
Mujh ko ata kia bhi to itna kam
Chand aanso aur chand dukh apney
Mein ji’eon bhi to kis key saharey ‘Gul’
Ab hein bhi yahan kon apney



Kahan gaye sheher k zaalim log?

Ghazal Shayari

Kahan gaye sheher k zaalim log?
Kahan gaeen sheher ki zaalim batain?
Way na rahay tum sajan
Aur na rahi mulaqatain
Ik shakhs tum se kah raha hai ‘Gul’
Ataa karo mujhko wohi dukh ki saughaatain. . !


Khud ko rafta rafta faramosh ker sako’n . . !

Ghazal Shayari

Khud ko rafta rafta faramosh ker sako’n
Per tujh ko bhulana meray ikhtiyar mein nahi
Tujhey jeetna to meray muqadar mein nahi
Aur tujhey harna meray ikhtiyar mein nahi


Sadi’yon sey rothey ko ab aaye hein mananey . .

Ghazal Shayari

Sadi’yon sey rothey ko ab aaye hein mananey
Wo kab ka ghar chor chukka, aye hein isey ghar laney
Jis key kisi patey mein bhi khusbo ka ik zara nahi raha
Lagey hein is guldan ko angan mein sajaney
Zaman kitna be-reham hai key jab mar chukey
To laga hai qabr’on ko ab milaney
Ye kia majra hua hai ‘Gul’ key
Lagey ho mazloom ki kahani zalim ko sunaney


Aaj shab mein jag raha tha!

Ghazal Shayari

Aaj shab mein jag raha tha
Sehan mein betha soch raha tha
Itney mein chupkey sey
Chand meray pas aa betha
Aur kehnay laga
Ik bar chali jaye to
Ye zindagi laut key nahi aati
Ye keh ker wo
Kahin door badal’on ki oot mein
Chup gaya
Aur mein ney hawa’on key hath ye sandesa bheja
Mujhey ik bar aa key mil jao
Ye zindagi
Laut ker nahi ati
Usey kehna


Youn to pas sey hazar bar guzra . .

Ghazal Shayari

Youn to pas sey hazar bar guzra
Aaj is liye aya key bemar tha
Sarkash lehja aur mathey pey bal
Janey isey jis cheez ka khumar tha
Wo ghusey mein aur bhi nikharta jar aha tha
Ye us ka husn tha ya mera piyar tha


Be-wafa’on ko aram kesay aye ga ?

Ghazal Shayari

Yaha’n ehal-e-dil toot’ain gey nahi to
Be-wafa’on ko aram kesay aye ga
Wo awara mizaj kahin door ja basa hai
Aab meri saada’on per kesay aaye ga
Saans’on mein basa hai yaad’on ki surat
Per is ko yakeen kesay aaye ga
Mein is ko kab ka bhol gaya hota ‘Gul’
Masla is dil ka hai is ko qarar kesay aaye ga


Admi bulbula hai pani ka. . !

Ghazal Shayari

admi bulbula hai pani ka
kia bharosa hai zindagani ka
agar ho sakey to aa ker milo
kia hai is saans ani jani ka
agar tum laut aao to ‘Gul’
anchal sambhal lena shani ka.


Muhabbat key safar mein!

Ghazal Shayari

Muhabbat key safar mein
aaj phir souchta hun
kitney din huay hein
tum ko dekha nahi
goya
kitney din huay hain
khud ko mila nahi
janey kab milo gay
lekin Jab milo gay
mein khod ko ainey mein
dekhlun ga
muhabbat key safar mein
aaj phir sochta hun. . !


Abhi aay ho abhi ja rahey ho !

Ghazal Shayari

Abhi aay ho abhi ja rahey ho
kuch dair aur ruko abhi raat baki h ai
is tarha barish mein
mat chor ker jao mujhey
in ankh’on mein an-dekhay sapney bohat baki hein
tum in rah’on mein abhi sey nidhal ho
abhi dukho’n ki kitab aur baki hai
tum kisi aur key ho jao ye ho nahi sakta
abhi to ‘Gul’ ki saans boht baki hai..


Mein Hun aur Tanhai Hai!

Ghazal Shayari

Mein hun
Aur tanhai hai
Teri ye chand tasweer’ain
Jo mujh sey baat’ein kerti hein
Teri ye chand tehreer’ain
Jin ko parh ker hum khod ko tasali’yan detay hein
Aur kuch card
Jinhei’n hum eid per parha kertay hein
Aur
Teray bhejay huay kuch gift
Jinhei’n hum her waqt chuma kerat thay
Agr tum khod aa ker dekho
Mera kamra bas teri
Yaad’on ki nishani hai
Aur tum
Kehtay ho key mujhey bhol jao. . !


Wo mujh sey pocha kerti thi

Ghazal Shayari

Mein ik pal bhi ghar sey nikl’on
To wo mujh sey pocha kerti thi
Tum kahan gaye thay
Kis sey milney gaye thay
Kia kam tha tujh o
Aisey be-wajha
Ghar sey na nikla karo
Zamana bohat kharab hai
Aaj teen shab bad
Jab mein ghar lauta to
Yaad aya
Wo pocha kerti thi


Wo tera parda sirka key dekha..

Ghazal Shayari

Wo tera parda sirka key dekha
Wo tera anchal hata key dekha
mujh ko kahin pagal na ker dey
wo tera ruk ruk key ankh’ain ghuma key dekhna


Kia maza in haseen bahar’on ka.!!

Ghazal Shayari

Kia maza in haseen bahar’on ka
Sehan,gulshan aur rang par’on ka
Kesay guzar sakey ga wo in key sath
Jisey dukh ho bichray yaar’on ka
Aaj bari mudat key bad na janey kiun
Khat aya hai meray chahney wal’on ka
Laut aao in rast’on sey ‘Gul’
Ye sandesa hai meray piyar’on ka


Mein to nahi ye zamana pagal ho gaya hai..

Ghazal Shayari

Mein to nahi ye zamana pagal ho gaya hai
Mujhey tum sey juda kerney per tul gaya hai
Jo bhyed umer’on sey chupaye huay thay
Mera khayal hai ab khul gaya hai
Meray mathey pey jo daag-e-ruswai tha
Ab wo dhul gaya hai
Lagta hai youn aaj ‘Gul’ jesay
Zulm ka soraj dhal gaya hai


Main de saka na tujh ko raahat kabhi koi..

Ghazal Shayari

Main de saka na tujh ko raahat kabhi koi,
Sumjhi na main nay iss ke zaroorat kabhi koi,
Naadim thha main, na hi main tujh se tha farar,
Phir bhi na di boond bhar chaahat kabhi koi,
Anjaan ban ke saath teray guzari jo zindagi,
Lagta hay jaisay thhee na mohabbat kabhi koi,
Laazim thha mujh pay haq jo teri wafa ka jan,
De na saka main tujhko kisi surat kabhi koi,
Ranjeeda apni zaat ke kuch faislon se hoon,
Kyun na main de saka tujhay ishrat kabhi koi,
Tou ne bhi her sitam pay sar ko jhuka liya,
Jaisay na ho dil main teray hasrat kabhi koi,
Maafi ka talabgar raha mian her ghadi laikin,
Sharminda hoon aisi ayi na surat kabhi koi,
Ab kiya kahon ke shaukat azaabon main thha ghira,
Mujh se uthhayi gayi na zehmat kabhi koi..
Shaukat Ali Khan



Mein zamaney key liye aik tana ban gaya hun

Ghazal Shayari

Mein zamaney key liye aik tana ban gaya hun
Tera jo dewana ban gaya hun
Mein ik acha bhala insaan hoa kerta tha
Aaj khod ik pagal-khana ban gaya hun


Mein ro’on bhi to meray roney sey kia ho paye ga..

Ghazal Shayari

Mein ro’on bhi to meray roney sey kia ho paye ga
Isey to jana hai wo to chala jaye ga
Mein hun khak ka shehzada , wo asman’on ki pari
Hamara male kaha’n ho paye ga
Wo bhool janey ki hidayt to dey rahi hai ‘Gul’ per
Magar ye kambakht dil kaha’n bhol paye ga


Khushnaseeb ashkon mein yeh khaaksaar kahan..

Ghazal Shayari

Khushnaseeb ashikon mein yeh khaaksaar kahan,
Bhula jo deta un ko aakhir, yeh ikhtiyaar kahan,
Hota hai chahat ka asar har tabeeyat pe mukhtalif,
Besabri dekho hum hi ko hai, unko intezaar kahan,
Ranj-o-gham se labrez ik daastan apni zubaani,
Bechna hamein bhi tha, lekin, kharidaar kahan?
Raat gayi, baat gayi, saath gaye wo haseen pal,
Khula hai dareecha aaj bhi, nigahen chaar kahan,
Be-mausam ki baarish hain, bheegne se na katra’aa,
Aayenge aise mauke ‘Aashiq’ ab baar baar kahan..
Aashiq


Gham denay waley gham dey ker bhool jatey hein.!!

Ghazal Shayari

Gham denay waley gham dey ker bhool jatey hein
Yaad rakhney wala sada yaad rakhtey hain
Tum ney to kahin akelay hi beth ker pe li
Hum aaj bhi teri piyas rakhtey hein
Duniya waley hanstey hein hum ko daikh ker
Hum jo teri tasweer ko senay set lagaey rakhtey hein
Khoda hum ko agar hoor bhi ataa keray ‘Gul’
Hum teri hi nigah mein nazar’ein bichaye rakhtey hein


Aab key baad koi nahi roye ga..

Ghazal Shayari

Aab key baad koi nahi roye ga
Wo waqt nahi raha to ye bhi nahi rahey ga
Wo youn hi bat bat per roth jata hai
Wo kitni dair aur rotha rahey ga
Agar muhabbat ka sila milta hai yehi
To koi bhi ab muhabbat mein nahi khoye ga
Tu kiun ro raha hai aaj ‘Gul’
Kia ab laut key nahi aaye ga


Zamana isey lakh bura kahey…

Ghazal Shayari

Zamana isey lakh bura kahey
Lekin wo bura nahi hai
Is dil mein kuch aas baki hai
Abhi ye sara jala nahi hai
Milna hai isay kabhi lekin
Wo abhi mila nahi hai
Jis sey zamana dekhta hai isey
In ankh’on sey to dekhta hi nahi hai


Hansi ki wajha ye nam nahi hota.!!

Ghazal Shayari

Hansi ki wajha ye nam nahi hota
Ishq mein to koi badnam nahi hota
Arey log to pagal hein jo samjhty nahi hein
Warna is mein to koi paap nahi hota
Is mein koi to aisi baat hai
Warna aisey hi koi kisi mein nahi khota
Kuch log guzar rahey hein zindagi aik nam key saharey
Mein ney to suna tha key koi kisi ka nahi hota
Tum kiun ungli’on ko gin rahey ho aaj ‘Gul’
Is ishq mein to koi hisab kitab nahi hota


Dukh dard ki kitaab aur hai…

Ghazal Shayari

Dukh dard ki kitaab aur hai
Tera mera hisaab aur hai
Tu kiun khod ko kisi aur sey tashbeh deta hai
Chambeli aur hai, gulaab aur hai
Hum’ein aik dosrey key liye khol key roney bhi na dey ga
Yahan muhabbat mein zamaney ka dastoor aur hai
Mein tum ko bhol jaon ye mat socha karo
Muhabbat aur hai ishq aur hai


Mein sarey zamany ki mukhalfat ker sakta.!!

Ghazal Shayari

Mein sarey zamany ki mukhalfat ker sakta
agar tu sath nibhata
Mein chaltey huay darya’on ko rok sakta
agar tu sath nibhata
Mein rotey ho’on ko hansa sakta
agar tu sath nibhata
Mein dukh dard bhula sakta
agar tu sath nibhata
Mein khod ko tabah honey sy bacha sakta
agar tu sath nibhata


Wo sarey jaha’n ki khushi’an..

Ghazal Shayari

Wo sarey jaha’n ki khushi’an
Wo tera ik humsafar kehna
Wo sarey zamaney ki mukhalfat
wo tera ik qissa-e-muhabbat kehna
tujhey chahney walo’n ki kami na thi
wo tera ik tujh ko jan kehna
kiun badal gaya hai ab tu meri jan
kaha’n gaya wo tera ik mujh ko chand kehna


Denay wala dey ajab nishani gaya…

Ghazal Shayari

Denay wala dey ajab nishani gaya
Mathay per ker tehrer gham ki kahani gaya
Khushi’yan sari khod samayt ker ley gaya
Meri ankh’on sey ker rawa’n pani gaya
Heer chor ker chali gai ranjha ko
Likh wo meri kitab per ye kahani gaya


Zamana bara bewafa hai is ka aitabar mat kerna..!

Ghazal Shayari

Zamana bara bewafa hai is ka aitabar mat kerna
Khod ko bhol jana magar kisi ka intezar mat kerna
Agar wo kabhi bhol ker laut aaye to
Is ki muhabbat ka iqraar mat kerna
Yehi is zamaney ka dastoor hai ‘Gul’ key
Khud ko kisi key liye barbad mat kerna


Mout ney to nahi zindagi ney bohat sataya hai..!

Ghazal Shayari

Mout ney to nahi zindagi ney bohat sataya hai
Tujhay jitna bholay tu utna hi yad aya hai
Tu kiun is baat ko aksar bhool jata hai
Bars’on minat’on key bad tujhay paya hai
Is dil mein koi aur is liye nahi rehta
Key meray dil pey tera saya hai
Mein tujhay kia baton ‘Gul’ key
Mein ney tujhay kho ker kiya khoya hai


Mein phool hun mujh ko mehka dey.!

Ghazal Shayari

Mein phool hun mujh ko mehka dey
Mein sookh gaya hun mujh ko khila dey
Mujhay ishq mein apna-ley ya is sey dara dey
Mujhay bakhsh dey ya saza dey
Mujhay aur kuch nahi chahiye ‘Gul’
Tu khod ko bas mera bana dey


Ye ishq na hisab’on mein hai..

Ghazal Shayari

Ye ishq na hisab’on mein hai
Na kitab’on mein hai
Ye to bas lajawab’on mein hai
Ye tan mein sota hai aur
Jagta khuwab’on mein hai
Is ka maza na
Sahbab’on mein hai
Na sharab’on mein hai
Is ishq ka thikana na
Shehar’on mein hai na makan’on mein hai
Ye to bas medan’on hi medan’on mein hai
Is ka shumar aur kahan kahan karo gey ‘Gul’
Ye to bas sawab’on hi sawab’on mein hai



Zindagi wafa na karay is ka gham nahi..!

Ghazal Shayari

Zindagi wafa na karay is ka gham nahi
Tu mujh sey bichar gaya ye bhi to kam nahi
Meri maa kaha kerti thi tu bohat bahadur hai
Is liye aaj meri aankh pur-nam nahi
Mein ney koshish to bohat ki lekin
Tujhay bhol jana bhi kisi mojzey sey kam nahi
‘GUL’ is liye bhi udas rehra hai
Meray hisay ki khoshi’yan gam’on sey kam nahi
Tum na mujhay kabhi chor ker jana
Is dil-e-bemar ko zamana choney ka gham nahi


Mat pocho tum is raaz ko hum sey..!

Ghazal Shayari

Mat pocho tum is raaz ko hum sey
pata nahi kia kia hum is mein band rakhtey hein
kia batain logo’n ko
hum youn bhi hein pagal tehray


Tu meray liye hai yaad’on ki surat

Ghazal Shayari

Tu meray liye hai yaad’on ki surat
Tu hai ik janat ki murrat
Tu meray sath ho to
Mujhy nahi hai kesi ki zarort
Tu sarey dukh samet leti hai aulaad key
Tu hai maa ik puray jahan ki surat


Tera aanchal hata ker daikhna acha lagta hai..!

Ghazal Shayari

Tera aanchal hata ker daikhna acha lagta hai
Teri gali’yon mein jana’n phirna acha lagta hai
Mein to kitni dour sey aa jata hun teray sheher
Tera ghar sey hi na nikalna acha lagta hai
Ye to raaz ki bat hai
Is ko samjhna acha lgta hai
Haseen wadi’yon mein rehna teray sath chalna
Aisey dilkash khawab daikhna acha lagta hai
Tera bat bat per ruth jana
Aur mera wo manana acha lagta hai
Mujhay yahan kahin jagha dey
In jheel si ankh’on mein rehna acha lagta hai


Kon si chut kahan lagi tujhy kia khabar..

Ghazal Shayari

Kon si chut kahan lagi tujhy kia khabar
Koi muhabbat mein kitna barbad hua tujhy kia khabar
Koi kisi sey bichar janey key gham mein
Kitney bars’on roya tujhay kia khabar
Mein ney tujhy bholney ki khatir
Kitna yad kia tujhy, tujhy kia khabar
Tu zamaney key rakh-rakhao mein ulajh gaya
Tera ‘Gul’ kitni bar jiya mara tujhyay kia khabar


Ye dunia walay wafa nahi kertay..!

Ghazal Shayari

Ye dunia walay wafa nahi kertay
Tum bhi in sey wafa mat karna
Wo koi dhoka dey tum ko
Is sey pehlay tum dhoka dia karna
Apney hi nam sey zinda rehna yahan
Kisi key nam sey jia na kerna
jo tahor bhi pilay to bhi na pena
khod apney hi hath sey piya kena
ye log be-wafa hein ‘Gul’
tum kesi pe aitbar mat kerna


Dil is pey fida hai..

Ghazal Shayari

Dil is pey fida hai
Wo jism mein rooh ki tarha hai
Wo aay to
Laut ati hein
Is dil mein
Bahar’ain
Ye bhi nahi key
Wo chaley to kehkash’an chalney lagay
Ye bhi nahi key
Wo asmaan ki pari hai
Bas
Hai bhi wo
Ek
Aam si larki


Wo bohat tareef’ain krta tha meri wafa’on ki..!

Ghazal Shayari

Wo bohat tareef’ain krta tha meri wafa’on ki
Jab bhola to laut ker na aya kabhi
Mashoor ker di ek kahani meri jafa’on ki
Is ney meray nam key sath nasb ker di
ek takhti apni sari wafa’on ki


Mein kesay faramosh ker dun ab.!

Ghazal Shayari

Mein kesay faramosh ker dun ab
Jis nay bachpan sey ab tak sambhala hai
Main bohat chota hua krta tha tab
Is ney mjhy senay sey lga ker pala hai
Mein bohat darta tha blaa’on sey ‘Gul’
Meri maa ney duaa’on sey is dar ko nikala hai


Tujhy kia malum ye kia cheez hai..!

Ghazal Shayari

Tujhy kia malum ye kia cheez hai
Jis ki nahi us sey pocho maa kia cheez hai
Tujhy to aurha deti hai raat ko kambal
Jis ki nahi us sey pocho sardi kia cheez hai
Us ka rutba hisab’on mein nahi ata
Ye to khuda bhi nahi janta maa kia cheez hai


Wo mujhy nad’an aur khod ko aqal-mand samjhta hai..!

Ghazal Shayari

Wo mujhy nad’an aur khod ko aqal-mand samjhta hai
Ajeeb shaks hai khod ko khuda samjhta hai
Mujh ko fareb dey ker boht khosh hai
Wo khod ko bara mahir samjhta hai
Mein to is ki badnami’yon sey chup hun
Aur wo khod ko bara taqat-wer samjhta hai
Mera qurban hona bhi kuch kam na aya ‘Gul’
Wo to mujh ko both haqeer samjhta hai


Mein kuch bhi ker nahi skta.!

Ghazal Shayari

Mein kuch bhi ker nahi skta
Apni safai bhi day nahi skta
Wo hai bhi itna sarkash key
Meri baat bhi wo sun nahi skta
Ye ajeeb halat hai key is key siwa
Mein saans bhi ley nahi skta
Mein isy kabhi nahi bhool pa’on ga ‘Gul’
Aur wo mera ho bhi nahi skta


Mein tujhy bhol bhi kesy skta hun..!

Ghazal Shayari

Mein tujhy bhol bhi kesy skta hun
Tu mery dil mein nahi roh mein samaya hai
Isay bhla koi kesy chor ker jata hai
Jisy bars’on ki riazat key bad paya hai
Meray bad wo aya tha kamrey mein aaj ‘Gul’
Ik phool nishani apney takiye per paya hai


Wo zinda zaror hai..!

Ghazal Shayari

Wo zinda zaror hai
Magar meray liye nahi
Agar wo pehly wala zinda hota
To yon na krta
Mujhy
Zamaney mein ruswa
Mein ney kia kuch na kiya tha
Is ki khatir
Isay paney key liye
Mein ney sub kuch
To ganwa dia tha
Ab meray pas
Is key siwa
Reh bhi kia gaya tha
Jab isay
Ye mehsos hoa
Key
Meray siwa us ka
Zamaney mein koi nahi
To
In muhabbat’on key badley
Mein
Is ney mujhy kia dia
Wohi ruswai
Wo mujhy chor
Kr
Chla gya
Aur mery samney
Kisi aur ka ho gya
Aur
Meray mathey
Per likh
Kr chala gya
Wohi
Dagh-e-ruswai


Ye shehar ki gali’yan aur raat key sanatey..

Ghazal Shayari

Ye shehar ki gali’yan aur raat key sanatey
Hein mujh ko ye bohat hi daratey
Chor ker janay walay lout aao tum
Tujhy kia khabar kesy hein hum ye din guzar patay
Dasney lagti hai shehr ki tanhai hum ko
Jab hum in raston per hain jatay
Tu kiun nahi ata hum ko milney
Kia tujhy wo guzrey huay din yaad nahi atay
Kash kabhi hum ye kar saktey ‘Gul’
Teri tarha hum bhi tujh ko bhula patay



Dil mein to apny hi bastey hein..!

Ghazal Shayari

Dil mein to apny hi bastey hein
Ger’on ney mjhy kab lota hai
Is waqt sey wo be-ghar pher raha hai
Jab sey tera daman choota hai
Isey bhi kisi konay mein rakh lo
Konsa terey ghr ka angan choota hai
Aaj is nagar nagar ka kona mehak rahai hai ‘Gul’
Wo bars’on bad wapis lota hai


Wo to jazbat ki ro mein beh gaya tha..

Ghazal Shayari

Wo to jazbat ki ro mein beh gaya tha
Key sab kuch keh gaya tha
Ye to socha hi na tha key tu
Pichley khat mein sara qisa hi khatm kr gya tha
Tanhai ney pocha dil-e-bemar sey kahan gaya tha
To dhemay sy bola is ki chokhat per gaya tha
Kuch nahi to yehi sahi ‘Gul’
Is dil-e- beqarar ko wahan do pal aram to mil gya tha


Mujh sey bichar kar gee na pao gay..!

Ghazal Shayari

Mujh sey bichar kar gee na pao gay
Din dasay ga raat ki tanhai katay gi tum ko
Tum kesy ab is bat per yaqeen karo gey
Raqeeb’on ney bharkaya hey mery khilaf tum ko
Bichar ker tum khod bhi pachta rahy ho
Na roya karo na do ye saza tum khod ko
Mein kal bhi tera tha aur tera hi raho’n ga
Lout aao agar ye baat manzoor ho tum ko


Tu ny jo kaha tha ky ..!

Ghazal Shayari

Tu ny jo kaha tha ky
mjhy bhool jao
mery samny
ainda
zindagi mein
mat ana
mjhy panay
ka khuwab
zindagi sy nikal
daina
tjhy bhool
jany pr
mera khod pr
ikhtiyar nahi hai
ye dunia chor dun ga
hamesha ki trha
mein tera maan nahi tor’on ga


Aaj is umeed main khari ho..!

Ghazal Shayari

Aaj is umeed main khari ho..!
Kal in ki tum ho jao gi
Hum pagal ho jain gy in gliyon main
Aur tum pardes chali jao gi
Jb kabhi louto gi pardes sy
Tum hum ko na pehcan pao gi
tum bhi to inhi logo’n main rahi ho
tum bhi is zamany ki reet nibhao gi
sans’on sy bhi mujh ko kareeb pao gi
jb kabhi ankhain band kr ky so jao gi
‘Gul’ mar kr bhi tera intezar karay ga
Kay kab janazy per aa key ro gi aur rulao gi


Bhala tm ye bhi to btao..!

Ghazal Shayari

Bhala tm ye bhi to btao
Ky kbhi koi janat chor kr ja skta hai
Meri maa aik janat hai
Aur mein is ka makee’n hun


Daikho tum mjuh sy..!!

Ghazal Shayari

Daikho tum mjuh sy..
Is bat pr
Barham na hona
Ky ye har waqt
Ka milna theek
Nahi hai
Lekin
Main kia krun
Ky in yadon py
In khwab’on py
Mera ikhteyar nahi hai
Tum
Is bat pr
Brham na hona


Na jenay ki khushi na marnay ka gham hua hai..

Ghazal Shayari

Na jenay ki khushi na marnay ka gham hua hai
Bs tery sath chalny ka shouq hua hai
Mara mara phirta hai in galiyon main
Jisy tm ny apny shehr sy be-dakhal kai hai
Kal mili thi wo raat ko khoab main
Kehti hai bicharny ka tajrba kesa hwa hai
Khoon ky ansoo rota hai raton ko jo
Suna hai isy tum sy muhabbat nahi ishq hwa hai


Aaj kuch dard dil main hota hai..

Ghazal Shayari

Aaj kuch dard dil main hota hai..
Ankh ky sath jgar bhi rota hai
Main jitna bhi ro’oun kam hai teri judai main
Tairy gham ka haq kab ada hota hai
Binai bhi khoon ban kr tapakti rahi hai
Phr bhi ashk’on ko ankh sy gila hota hai
Hansty hansty tery khayal sy ro daity hain
Hum chahty kia hain aur kia hota hai
Suna hai in par mehshar ki dhoop bhi kuch asar nahi karti
Jin ka dil ishq sy jala hota hai


Is bat par mjhy tajub hota hai..!!

Ghazal Shayari

Is bat par mjhy tajub hota hai..!!
Sari rat jo tum jagty rehty ho
Sochty rehty ho
Bs baithy baithy
Tum
Gum rehty ho
Ankhon main
Wo
Surkhi
Liye
Subha ko college
Jatay ho
Tum kaisy parhty ho..??


Ab kon aaye ga tery shehar main ?

Ghazal Shayari

Ab kon aaye ga tery shehar main . ?
Kis ne loot liye hain qaafley tery. .
Abhi tou wo sadiyon ki musafat pe khara hai
Kahan gaye jo tay kiye thay faslay tery. .
Tu ghair’on pe kia bharosa karay ga
Loot gaye tujhay apnay tery. .
Jisay tu jaan sey aziz samajhta tha ‘GUL’
Aj wo torr gaya hai sapney tery. .!


Jab se tery ghum ko basaya hai dil mein. .

Ghazal Shayari

Suna karty they jin khush’ion ka haal
Aaj wohi jhonpri’an barbaad ho gaeen
Jab se tery ghum ko basaya hai dil mein
Mushkilain tou boht aain magar aasan ho gaeen
Teri umeed aur tery intezaar k aansu
Boht hasratain mileen magar fanaa ho gaeen
Jab bhi dekha kisi ujerty huay ko ‘Gul’
Ye aahain uth uth k toofan ho gaeen. . !


Haqeeqat agar afsana ban jaye tou. . !

Ghazal Shayari

Haqeeqat agar afsana ban jaye tou kia kejiye
Agar apna koi begana ban jaye to kia kejiye
Jis ko sadiyon pooja jaye
Agar wohi chorr jaye to kia kejiye
Band aankh’on se jis per aitebar kiya jaye
Agar wohi dhoka de to kia kejiye
hamesha se muhabbatain nichawar karny wala
Agar nafrat’ain de tou kia kejiye
Tum khud hi batao ‘Gul’ moaziz zamanay mein
Kon kis pe aitebar kia kejiye. .


Milna Hai Tou Khud Aa K Mil!

Ghazal Shayari

Milna hai tu khud aa k mil
Na bhej in band tehreer’on ko
Ye to such hai k tasalli ka imkaan hoti hain
lekin mujhy nahi pehenna in zanjeer’on ko
Kyun har baat ko muqaddar per taal rakhta hai
na laaya kar beech mein peeron ko
Marna tha to khud hi ek roz kah dety
Kia zarurat thi ye kehny ki aankhon k teer’on ko
Bus karo in zulm’on ki inteha kahin aisa na ho
Ik roz bedaar kar de ‘Gul’ k zameer’on ko. . !


Boht Door Rehta Hai Mera Yaar. .

Ghazal Shayari

Boht door rehta hai mera yaar
Jaan se barha kar karta houn usey pyar. .
Agar wo kahi’n mujhy bhool bhi gaya to
Mein sadiyon tak karunga uska intezar
Bhool kar kahin usey yaad meri aa jaye gi
Aankh aansu’on se bhar jaye gi
Aur wo laut aye ga
In aankh’on ko aa jaye ga qaraar
Bus yehi khoobi hoti hai pyar mein ‘Gul’
K ye awara mizaj’on ko bhi kheench lata hai yaar. .



Aanay Wali Thi Khizaa’n. .

Ghazal Shayari

Aanay wali thi khizan, maidaan khali kar diya
Kal hawa-e-shab ne sara lawn khali kar diya
Hum tery khuwabo’n ki jannat se nikal kar aa gaye
Dekh, tera qasar-e-aali shaan khali kar diya
Dushmano’n ne shist baandhi Khaima-e-umeed per
Dosto’n ne darra-e-imkaan khali kar diya
Bantney nikla hai wo phool’on k tohfay sheher mein
Is khabar per hum ne bhi guldaan khali kar diya
Le gaya wo sath apny, Dil ki sari ronaq’ain
Kis qadar ye sheher tha gunjaan khaali kar diya
Saari chirri’an urr gaee’n mujh ko akela chorr kar
Mery ghar ka sehen aur daalaan khali kar diya
Diary mein saray achy sher chunn kar likh liye
Aik larki ne mera deewan khali kar diya. . !


Wish Card. . !

Ghazal Shayari

Tu ne wish card bhej kar mujh ko
Yaad kitny dila diye mosam
Mery bahar badal diya manzer
Mery ander saja diye mosam
Farq baqi nahi rakha tu ne
Mosamo’n mein mila diye mosam
Sochta houn k apni furqat mein
Tu ne kaisy bana diye mosam
Bacho’n jesi thi teri zid jana’n
Tu ne yunhi ganwa diye mosam
Mom bati na thi k pal bhar mein
Phoonk mari aur bujha diye mosam. . !


Kisi Din Tujh Se Milney Ka Bahana Dhoond Laity Hain. .

Ghazal Shayari

Kisi din tujh sey milney ka bahana dhoond laity hain
Chalo, kuch saal pehlay ka zamana dhoond laity hain
Andhera kitna hi gehra ho, raat’ain kitni kaali hon
Parindey apna apna aashiyana dhoond laity hain
Kai dar khul jatay hain jo ik dar band hota hai
Hum aisay log apna aab-o-daana dhoond laity hain
Chat’ain jin k sar’on se cheen li jati hain wo be-ghar
Kahi’n bhi sir chupanay ka thikana dhoond laity hain
Galay hum se bhi aa lagta hai koi dard ka maara
Kisi dil sokhta ka hum bhi shaana dhoond laity hain
Khuda mehfooz rakhay, in ki zid pe hum na aajain
Shikari apney matlab ka nishana dhoond laity hain
Ana ki jang mein akhir bharam qaim bhi rakhna hai
To youn karty hain, rasta darmiyana dhoond laity hain. . !


Phir Wohi Dil Ki Haalat Hai. .

Ghazal Shayari

Phir wohi lambi dopeherain hain, Phir wohi dil ki haalat hai
Bahir kitna sannata hai, Ander kitni wehshat hai. .
Sham karain kaisy is din ki, Thandi surat dekhain kin ki
Idhar udhar to dhua’n urati, aag ugalti khalqat hai. .
Jis ko hum ne chaha tha wo kahi’n nahi is manzar mein
Jis ne hum ko pyar kiya wo saamney wali moorat hai. .
Phool babol k achay hain lekin sakat tasweero’n mein
Sach much k sehra’on ki tou is dil jaisi surat hai. .
Tery baad dukano’n per ja kar poochta rehta hoon
Kia wo khushbu mil sakti hai ab us ki kia qeemat hai?
Baray baray sapney nahi’n boye meine apny aangan mein
Nanhi munhi khushi’an hain, Meri choti si ik jannat hai. . !


Boht Sajaye They Aankho’n Mein Khuwab Meine Bhi!

Ghazal Shayari

Boht sajaye they aankho’n mein khuwab meine bhi
Sahay hain us k liye ye azab meine bhi. .
Judai’on ki khalish us ne bhi zahir na ki
Chupaye apny ghum-o-iztaraab meine bhi. .
Diye bujhaye k sar-e-shaam so gaya tha wo
Bitai so k shab-e-mahtaab meine bhi. .
Yehi nahi k mujhy us ne dard-e-hijr diya
Judai’on ka diya hai jawab meine bhi. .
Kisi ne khoon mein tar choori’an jo bheji hain
Likhi hai khoon-e-jigar se kitaab meine bhi. .
Khiza’n ka waar bhi kaar’gar tha dil per magar
Boht bacha kar rakha ye gulab meine bhi. . !


Bil-Aakhir Ye Haseen Manzar Mita Dena Hi Parta Hai!

Ghazal Shayari

Bil-aakhir ye haseen manzar mita dena hi parta hai
Kisi k sir ko shanay se hata dena hi parta hai
Kisi dair aashna ko jhootay sachay kuch hawalo’n se
Ta’aruf k liye sab se mila dena hi parta hai
Jo sanso’n mein mehektay hain jo aankho’n mein damakty hain
Achanak aik din un ko bhula dena hi parta hai
Diye jo hum jalatay hain nihayat shauq se har shab
Unhein khud apni phoonko’n se bhuja dena hi parta hai
Koi jab poochta hai hum se, kaisa haal hai ‘Sajid’
Humain mohtaat ho kar muskra dena hi parta hai
Chamak uthtey hain ‘Sajid’ jab sitaray us ki palko’n per
Usey dil se laga kar hosla dena hi parta hai. . !


Tujhy Itteafaq Se Ird Gird K Log Achay Nahi Milay. .

Ghazal Shayari

Tujhy itteafaq se ird gird k log achay nahi milay
Magar is dayaar-e-umeed k makee’n to itny buray nahi
Mery lawn mein jo chamak uthay kai rang dhoop ki shaal per
To mein darr gaya k bahar mein kabhi phool itny khilay nahi
Hum ajab musafir-e-dasht thy k chalay to chaltay chalay gaye
Kisi aab’jo ki sadaa pe kahi’n rastay mein rukay nahi
Hai gali k khambo’n pe muntazir ye qataar chirriyon ki dair se
Abhi parda posh hain khirkiyan, abhi log so k uthay nahi
Humain khud jalaye gi ye hawa, ye jo idhar se guzri hai taiz paa
Teri anjuman k charagh hain k dhuan huay hain bujhay nahi
Kai aur ehl-e-talab milay mujhy raah shauq mein hum qadam
Jinhain kar raha tha talash mein, wohi log mujh ko milay nahi. . !


Ye Nahi K Saray Jahan Mein Humsafar Hi Nahi Mila. .

Ghazal Shayari

Ye nahi k saray jahan mein humsafar hi nahi mila
Sabhi ‘Aitbar’ k sath thy, koi mo’tabar hi nahi mila
Meri nabz choo k to dekhta k shikasta dil ki sadaa hai kia
Mera la-ilaaj marz na tha, koi chara gar hi nahi mila
Kabhi sheher chaan liye gaye, kahi’n khaimay taan liye gaye
Jisay dekhta tha mein khuwab mein, mujhy wo nagar hi nahi mila
Mujhy wo makee’n hi nahi milay jinhain meri zaat se pyar ho
Jisy apna ghar mein samajh saku’n, mujhy aisa ghar hi nahi mila
Raha muztarib mera shauq bhi mera sajda karny ka zauq bhi
Mujhy sang-e-rah to boht milay, Tera sang-e-dar hi nahi mila
Sabhi apny apny giroh k, gham-aarzu ka shikar thy
Kisay mein dikhata ye zakhm-e-dil, koi deeda war hi nahi mila


Wo Muhbbatain Mujhy Chahiyain. .

Ghazal Shayari

Meri rooh mein jo uter sakain wo muhbbatain mujhy chahiyain
Jo saraab hon na azab hon, wo rafaqat’ain mujhy chahiyain
Kahin mil sakain to samait lo mery roz-o-shab ki kahaniyan
Jo ghubar-e-wakt mein chup gaeen, wo hikayatain mujhy chahiyain
Jo meri shab’on k charagh thy, jo meri umeed k baagh thy
Wohi log hain meri aarzu, wohi soorat’ain mujhy chahiyain
Teri qurbat’ain nahi chahiyain meri shayari k mizaj ko
Mujhy faaslo’n se dawaam de, teri furqat’ain mujhy chahiyain
Mujhy aur kuch nahi chahiye ye duain hain mery saae’baan
Karri dhoop mein kahi’n mil sakain to yehi chatain mujhy chahiye. .


Lagta Hai Kisi Dil Mein Muhababt Nahi Meri. .

Ghazal Shayari

Lagta hai kisi dil mein muhababt nahi meri
Is ghar mein kisi ko bhi zarurat nahi meri
Kaghaz pe hai bus in dar-o-deewar se rishta
Jo saaya-e-figan sir pe hai wo chat nahi meri
Har shakhs ki nazro’n mein mery daam alag hain
Maloom hai mujh ko, koi qeemat nahi meri
Rassmi sa hai is sheher k logo’n se ta’alluq
Barso’n huay khood se bhi rafaqat nahi meri
Mein jin k liye khaak basar dasht mein bhatka
Tasleem unhein bhi ye mushaqqat nahi meri
Ye kah k meri neend, Meray khuwab bhi cheenay
Mujh se unhein darkaar ijazat nahi meri
Wo surat-e-zar maang rahy hain mery ash’aar
Matloob unhein kaghazi shohrat nahi meri . . !


Ye Kia Haalat Bana Rakhi Hai?

Ghazal Shayari

Ye kia haalat bana rakhi hai? Ye aasaar kaisy hain?
Boht acha bhala chora, ab beemar kaisy hain?
Wo mujh se poochny aai hai k kuch likha nahi’n mujh per?
Mein us ko kaisy samjhaun, mery ash’aar kaisy hain?
Meri sochain hain kesi, kon in soch’on ka markaz hai
Jo mery zehn mein paltay hain wo afkaar kaisy hain
Mery dil ka alaao aaj tak dekha nahi’n jis ne
Wo kia janay k sholay surat-e-izhaar kaisy hain
Ye mantaq kon samjhay ga k yakh kamray ki thandak mein
Mery alfaaz k malboos shola baar kaisy hain
Zara si aik farmaish bhi poori kar nahi’n sakty
Muhabbat karny walay log bhi la-chaar kaisy hain
Judai kis tarha bartao hum logo’n se karti hai
Mizaaj’an hum sukhanoor be-dil-o-be-zaar kaisy hain. . !


Is Dil Ne Teray Baad Muhabbat Bhi Nahi’n Ki. .

Ghazal Shayari

Is dil ne teray baad muhabbat bhi nahi’n ki
Had ye k dharakney ki jasaarat bhi nahi’n ki
Tabeer ka aizaz hua hai usey haasil
Jis ne mery khuwabo’n mein sharakat bhi nahi’n ki
Ulfat tou barri baat hai hum se to sir-e-sheher
Logo’n ne kabhi dhang se nafrat bhi nahi’n ki
Aadab-e-safar ab wo sikhatay hain jinho’n ne
Do chaar qadam tay ye musaafat bhi nahi’n ki
Kia apni safai mein bayaa’n daity k hum ne
Nakarda gunaho’n ki wazahat bhi nahi’n ki
Khamosh tamashaai k manind sir-e-bazm
So zakhm sahay dil pe, shikayat bhi nahi’n ki
Us ghar k sabhi log mujhy chorrney aaye
Dehleez talak us ne ye zehmat bhi nahi’n ki
Us ne bhi ghulam’on ki safo’n mein humain rakha
Is dil pe kabhi jis ne hakoomat bhi nahi’n ki. . !


Kuch Wo Bhi Dukhi Dil Liye Aaya Tha Mery Paas. .

Ghazal Shayari

Ab tak na samajh paaye mera shor-e-fugha’n bhi
Tum log tou parh laity ho aankho’n ki zuba’n bhi
Khat is liye shayad mujhy ab tum nahi’n likhtey
Kaghaz pe uter aatey hain saanso’n k nisha’n bhi
Seenay ki ghutan mein kabhi rukti nahi aah’ain
Kamray se nikalney ko machalta hai dhua’n bhi
Shohrat se faqat is liye aata hai mujhy khauf
Mash’hoor na ho jaye mera zakhm-e-neha’n bhi
Is dard k rishtey mein tou yaksaa’n hain shab-o-roz
Jo haal tumhara hai wo aalam hai yahan bhi
Kuch wo bhi dukhi dil liye aaya tha mery paas
Kuch dard bhara tha mera andaz-e-bayaa’n bhi. . !


Utri Hai You’n Judai’on,Tanhai’on Mein Shaam. . !

Ghazal Shayari

Utri hai you’n judaiyo’n, tanhaiyo’n mein sham
Jaisy ujaar sheher ki angnaiyo’n mein sham. .
Rangeen qamqamo’n ka sahara liye huay
Sehmi hui hai sheher ki ra’naai’on mein shaam
Kamro’n mein band, hijr k gosha nasheen tery
Kab dhoondtay hain apni pazeerai’on mein sham
Hum sokhta dilo’n ki tumhain kia khabar k hum
Kaisay guzar laity hain tanhai’on mein sham
Ae akhri kiran! Mujhy ghar tak tou chorr de
Ab dhal rahi hai doobti parchaai’on mein shaam
Na-aashna hujoom mein khoye huay they hum
Guzri hai aaj aisi shanasaai’on mein sham. . !


Tu Jis Ka Mustahiq Tha Wo Chahat Na Di Tujhey. . !

Ghazal Shayari

Naadim hoon mein ne koi bhi rahat na di tujhy
Tu jis ka mustahiq tha wo chahat na di tujhy
Apny hi roz-o-shab k jhamelo’n mein gum raha
Jis per tera tha haq wo rafaqat na di tujhy
Tu paas tha tou meri anaa k ghuroor ne
Pathar k aik but ki bhi wuq’at na di tujhy
Dariya tha mein khuloos ka har shakhs k liye
Per boond bhar bhi meine muhbabbat na di tujhy
Kaghaz k qamqam’on ko jalanay k shauq mein
Afsos, koi sham-e-rafaqat na di tujhy
Tu sochta tou ho ga k shayar k piyar ne
Apni kisi ghazal ki bhi surat na di tujhy
Mein kia karu’n k meray both se azaab they
Bus is liye kabhi koi zehmat na di tujhy. . !


Mujh Se Mukhlis Tha Na Waakif Mery Jazbaat Se Tha. .

Ghazal Shayari

Mujh se mukhlis tha na waakif mery jazbaat se tha. .
Us ka rishta to faqat apny mafadaat se tha. .
Ab jo bichra hai to kia ro’en judai pe teri. .
Ye andesha tou humain pehli mulaqaat se tha. .
Dil k bujhney ka hawao’n se gila kia karna?
Ye diya naza’a k aalam mein to kal raat se tha. .
Mein kharaabo’n ka makeen aur ta’alluq mera. .
Tery naatay kabhi khuwabo’n k mehal’aat se tha. .
Lab-kushaai pe khula us k sukhan ka iflaas. .
Kitna aarasta wo atlas-o-banaat se tha. . . !

Ye Barso’n Ka Ta’alluq Torr Dena Chahtay Hain Hum. .

Ghazal Shayari

Ye Barso’n ka ta’alluq torr dena chahtay hain hum. .
Ab apny aap ko bhi chorr dena chahtay hain hum. .
Kisi dehleez per aankho’n k ye roshan diye rakh kar. .
Zameer-e-subha ko jinjhorr dena chahtay hain hum. .
Jidhar hum ja rahy hain us taraf toota hua pul hai. .
Ye baag’ain is se pehlay morr dena chahtay hain hum. .
Ye naubat kal jo aani hai to sharminda nahi’n hongay. .
Marasam ehtiyaat’ann torr dena chahtay hain hum. .
Ajeeb deewangi hai jis k hum saaye mein baithay hain. .
Issi deewar se sir phorr dena chahtay hain hum. .
Ta’alluq kirchiyo’n ki shakal mein bikhra to hai phir bhi. .
Shikasta aaino’n ko jorr dena chahtay hain hum. . . !

Khud Ko Kho Raha Hoon!

Ghazal Shayari

Mein takiye per sitaray bo raha hoon. .
Janam din hai, Akela ro raha hoon. .
Kisi ne jhank kar dekha na dil mein. .
K mein ander se kaisa ho raha hoon. .
Jo dil per daagh hain pichli ruto’n kay. .
Unhein ab aansuo’n se dho raha hoon. .
Sabhi parchaai’an hain saath lekin. .
Bhari mehfil mein tanha ho raha hoon. .
Mujhy in nisbato’n se kon samjha?
Mein rishtay mein kisi ka jo raha hoon. .
Mein chonk uthta hoon aksar baithay baithay. .
K jaisay jagtay mein so raha hoon. .
Kisay paanay ki khuwahish hai k ‘Sajid’
Mein rafta rafta khud ko kho raha hoon. . !

Shart-e-Mulaqaat. . !

Ghazal Shayari

Khuda janay tumharay zehn mein kia hai?
Meray baray mein tum kia sochti ho, kah nahi’n sakta. .
Magar mein is liye milney se katraata hoon tum se. .
K wo baatain jo hum likhtay hain apny khat mein chahat se. .
Wo baatain aur baatain hain. .
Wo baatain aisi baatain hain k bus baatain hi baatain hain. .
Haqeeqat mukhtalif hai aisi baato’n se. .
Haqeeqat kia hai? Iss adraak tak tum kaisy pohncho gi?
Haqeeqat munkashif hoti nahi’n alfaaz likhney se. .
Zubani guftugu se, bahami izhaar-o-arz-e-haal karny se. .
Boht si aisi baatain hain. .
Jinhain sunnay ko kaano’n ki nahi’n aankho’n ki haajat hai. .
Agar tum mujh sy milney per both israar karti ho. .
To phir ik shart hai. .
Ik lafz bhi na kehna, na honto’n se. .
Faqat aankho’n se aankhain guftugu karti rahaingi. .
Khalaa apny sawalo’n ka. .
In aankho’n ki sadaain khud ba-khud bharti rahaingi. .
Agar milna zaruri hai. .
Tou choti se meri ye shart apny zehn mein rakhna. . !

Wo Haal Hi Nahi’n Raha. . !

Ghazal Shayari

Wo pehli jaisi wehshatain, wo haal hi nahi raha. .
K ab tou shoq-e-rahat-e-wisaal hi nahi raha. .
Tamam hasrat’ain, har ik sawaal dafan kar chukay. .
Hamary paas ab koi sawaal hi nahi raha. .
Talash-e-rizq mein ye sham iss tarha guzar gaee. .
Koi hai apna muntazir, Khayaal hi nahi raha. .
In aatay jaatay roz-o-shab ki gardisho’n ko dekh kar. .
Kisi kay hijr ka koi malaal hi nahi raha. .
Hamara kia banay ga kuch na kuch tou iss pe sochtay. .
Magar kabhi humain ghum-e-maal hi nahi raha. .
Tumharay khaal-o-khad pe ik kitaab likh rahy thy hum. .
Magar tumhara husn be-misaal hi nahi raha. .
Sanwaarta, Nikhaarta mein kaisay apny aap ko. .
Tumharay baad apna kuch khayaal hi nahi raha. .
Zara si baat se dilo’n mein itna farq aa gaya. .
Ta’alluqaat ka tou phir sawaal hi nahi raha. .!

Ajab Din Raat They Meray. . !

Ghazal Shayari

Ajab halaat thy meray, Ajab din raat thy meray. .
Magar mein mutma’inn tha is liye, tum sath thy meray. .
Meray zar k talab’gaaro’n ki nazrain aisay uthti thee’n. .
K laakho’n ungliyan thee’n aur hazaro’n hath thy meray. .
Mein ik pathar ka gard aalood but tha in mandiro’n mein. .
Na dil tha mery seenay mein, Na kuch jazbaat thy meray. .
Kisi se aur kia ta’eed ki umeed mein rakhta?
Wohi khamosh thy jo mehram-e-halaat thy meray. .
Mein jin sho’lon mein jalta tha usey tum bhi nahi samjhay. .
Mera dil mukhtalif tha, Mukhtalif sadmaat thy meray. .
Mujhy mujrim bana kar rakh diya jhootay gawaho’n ne. .
Sabhi radd ho gaye jitney bhi ilzamaat thy meray. .
Tasawwur ban gaya tasweer, aakhir aik din ‘Sajid’
Isi ka khauf tha mujh ko, yehi khadshaat thy meray. . !

Koi Sham Aisi Bhi Sham Ho. . !

Ghazal Shayari

Koi sham aisi bhi sham ho, k ho sirf meray hi naam se. .
Meray sama’een hon shugufta dil, meray dil-gudaaz kalaam se. .
Meri guftugu k gulaab se ho dilo’n mein aisi shuguftagi. .
Koi aisi nik’hat-e-khaas ho k mehek uthey dar-o-baam se. .
Koi rung in mein kia bharu’n? Inhein yaad rakh k bhi kia karun?
Ye jo bheerh bhaarh mein sheher ki, Mujhy log miltay hain aam se. .
Meri raat meri habeeb hai, ye barri ajeeb-o-ghareeb hai. .
Mery sath chorr diya karo, mery fann se meray kalaam se. .
Meri aarzu hai k moum hon kabhi un k dil bhi mery liye. .
Jinhain bair hai meri zaat se, Jo hain bad-gumaa’n mery naam se. !

Bujha K Rakh Diya Humain. . . !

Ghazal Shayari

Kisi ne dil k taaq per jala k rakh diya humain
Magar, hawa-e-hijr ne, bujha k rakh diya humain
Hazaar hum ne zabt se liya tha kaam, kia karain
Kisi k aansuo’n ne phir rula k rakh diya humain
Hamari shohratai’n kharab is tarha bhi us ne kee’n
K apny aashano’n se mila k rakh diya humain
Hum is anjuman mein jany us ne kyun bula liya
Bula liya aur ik taraf bitha k rakh diya humain
Faqat hum aik daikhny ki cheiz ban k rah gaye
Kisi ne aisa ishq mein bana k rakh diya humain
Hum ‘Aitbar’ us ki har shikast mein shareek thy
Magar bisaat se alag utha kar rakh diya humain. . !

Akela Kamra. . !

Ghazal Shayari

Dharkan dharkan yaado’n ki baraat akela kamra. .
Mein aur mery zakhmi ehsasaat akela kamra. .
Gaye dino’n ki tasweer’on k bujhtay huay naqoosh. .
Taaza, tark-e-ta’alluq k sadmaat akela kamra. .
Dosh-e-hawa per urrney walay khiza’n k aakhri pattay. .
Apni akeli jan, gam-e-halaat akela kamra. .
Akhri shab k chand se karna, balcony mein baatain. .
Us k sheher mein hotel ki ye raat, akela kamra. .
Meri sisakti awazo’n se goonjti hain deewar’ain. .
Sunta hai din raat, mery naghmaat akela kamra. .
Sab samaan ba’hum hain ‘Sajid’ likhny likhanay kay. .
Khoon-e-jigr aur aansu, dil ki dawaat, akela kamra . . !

Dil Hai Yun Muztarib Makano’n Mein. .

Ghazal Shayari

Dil hai yun muztarib makano’n mein
Machliya’n jaisy martabano’n mein
Dhoop se dhoondtay hain raah-e-faraar
Log sheeshay k saibano’n mein. .
Teri aamad pe jaisy laut aya
Wakt guzray huay zamano’n mein. .
Dil dharakta hai har sitaray ka
Aaj ki raat aasmano’n mein. .
Zang aalood ho gaye jazbay
Jam gaye harf, sard-khano’n mein. .
Reshami log dhoondtay hain hum
Sheher k aahni makano’n mein. . !

Kabhi Tu Ne Bhi Socha Hai K Ye Pyaas Hai To Kyun Hai?

Ghazal Shayari

Kabhi tu ne bhi socha hai k ye pyaas hai to kyun hai?
Tujhy Paa k bhi mera dil jo udaas hai to kyun hai?
Mujhy kyun aziz tarr hai ye dhua’n dhua’n sa mosam
Ye hawa-e-shaam-e-hijraa’n mujhy raas hai tou kyun hai?
Tujhy Kho k sochta hun, Meray daman-e-talab mein
Koi Khuwab hai to kyun hai, koi aas hai tou kyun hai?
Mein ujjar k bhi hoon tera, tou bicharr k bhi hai mera
Ye yaqeen hai to kyun hai, ye qayaas hai to kyun hai?
Mery tan-bar’hana dushman isi gham mein ghul rahy hain
K mery badan pe saalam, ye libaas hai to kyun hai?
Kabhi pooch us k dil se k ye khush mizaaj shayar
Apni shayari mein jo udaas hai to kyun hai?
Tera kis ne dil bujhaya, Mery ‘Aitbaar Sajid’
Ye charagh-e-hijr ab tak, teray paas hai to kyun hai ? ?

Jaan-e-Aziz Saath Hain. . !

Ghazal Shayari

Yun to teri mohabbat’ain jaan-e-aziz sath hain
Apni bhi kuch qabahat’ain jaan-e-aziz sath hain
Sirf ye ik ghazal nahi, is mein hain kuch safaiyan
Ishq ki kuch wazahat’ain, jaan-e-aziz sath hain
Jism hi manzil, talab apny khayal ki nahi
Aur bhi kuch zarurat’ain, jaan-e-aziz sath hain
Apny liye to aik bhi, lamha jaan-e-fiza nahi
Apni kahan rafaqat’ain jaan-e-aziz sath hain
Aisay bandhay hua hain hum, sham-o-seher ki dor mein
Apni tamam kulfat’ain, jaan-e-aziz sath hain
Tum bhi ho is se ba-khabar, hum hain kahan k mo’tabar
Apni tamam qeemat’ain, jaan-e-aziz sath hain
Dil tou behel hi jaye ga, tanha safar mein hum nahi
Guzri hui kaee rut’ain, jaan-e-aziz sath hain. . . !

Dhoop Gharri Ka Daur Bhi Kitna Acha Tha. .

Ghazal Shayari

Dhoop Gharri ka daur bhi kitna acha tha. .
Wakt ka dariya pao’n k neechy behta tha. .
Meine aankhain mond’een aur dum saadh liya
Aik parinda kandhay per aa betha tha. .
Sabit hain ab tak phoolo’n k do surkh nishan
Khuwab mein kis ne mera maatha chooma tha. .
Barhti umer k sath khulay israar us kay
Kitna zaalim thaw o hijr jo pehla tha. .
Jab apny itraaf mein bheer ka shor suna
Tab mujh ko ehsaas hua mein tanha tha. .
Hijr k us lamhay per ab tak naadim hun
Tark-e-ta’alluq ki baabat jab socha tha. .
Khaak urraatey phirtey hain ab khaak nashee’n
Ik din kehkasha’n per pao’n na tikta tha. !

Kabhi Ghar Se Nikal Kar Tum Ne. .

Ghazal Shayari

Kabhi ghar se nikal kar tum ne
Sarma ki thitharti chandni shab mein
Akelay chand ko dekha?
Kabhi sunsaan bagho’n mein
Kisi tanha rawish per chalty chalty, chand se pucha
K wo tum se ziada muztarib kyun hai?
Magar tum!
Band kamray k makee’n!
Khuwabo’n k shehzaday!
Nikal kar garm kamray se
Kahan jao gay adhi raat ko sunsan bagho’n mein?
Akelay chand se batain tou wo mazloom karty hain
Jinhain ghar k deewar-o-dar bhi
Dhatkaar daity hain
Jinhain apni awaazo’n k khnjar
Maar detay hain!

Mohtaaj Humsafar Ki, Musaafat Na Thi Meri. . !

Ghazal Shayari

Mohtaaj humsafar ki, musafat na thi meri
Sab sath thy magar, kisi se rafaqat na thi meri
Haq kis se maaangta k makeeno’n k sath sath
Deewar-o-baam-o-dar ko zarurat na thi meri
Such bol k bhi dekh liya un k saamney
Lekin unhein pasand sadaqat na thi meri
Mein jin pe marr mita tha wo kaghaz k phool thy
Rasmi mukaalmay thy, muhabbat na thi meri
Jo dusro’n k dukh thy wohi mery dukh bhi thy
Kuch aisay mukhtalif bhi hikayat na thi meri
Bus kuch asool thy jo bahar-haal they aziz
Janam! Kisi se warna adawat na thi meri. . !



No comments:

Post a Comment