Dard Bhari Shayari

Dard Bhari Shayari is enriched with unhappiness, sorrowness and deep distress. People read Dard Bhari Shayari when they are hugely upset. This unhappiness can be of any kind, reading Dard bhari shayari makes us all feel a little better.



Aye dil tu unhe dekh kar kuch aese tarrapna..

Dard Bhari Shayari

Aye dil tu unhe dekh kar kuch aese tarrapna,
Aa jaye hansi un ko jo bethe hain khafaa se..


Aur bhi kar deta hai dard mein izaafa..

Dard Bhari Shayari

Aur bhi kar deta hai dard mein izaafa,
Tere hotey huye sab ka dilaasa dena..


Qaafiley qadmon ke nishaan chorr gaye..

Dard Bhari Shayari

Qaafilon ke qaafiley qadmon ke nishaan chorr gaye,
Aik hamara hi dard tha jo hijrat na kar sakaaa..


Zakham de kar na puch dard ki shiddat..

Dard Bhari Shayari

Zakham de kar na puch dard ki shiddat,
Dard to phir dard hai, kam kya, zeyaada kya..


Ranjj hai ya be’basi hai..

Dard Bhari Shayari

Ranjj hai ya be’basi hai,
Jo bhi hai musalsal hai..


Mohabbat karne waley kam na hon ga..

Dard Bhari Shayari

Mohabbat karne waley kam na hon ga,
Teri mehfil mein lekin hum na hon ge..


Sham sy pehlay ik diya jalana chahta hon ..

Dard Bhari Shayari

Sham sy pehlay ik diya jalana chahta hon ,
Main aj apni mohabat ko aazmana chahta hon ,
Yeh aana parast log hai andr sy tootay huye ,
Main yeh baat duniya walon ko btana chahta hon ,
Teri zaat ki mehroomiyan tera man ki yeh udaasiyan ,
Mujhy moka to dy main inhay mitaana chahta hon ,
Tere hath mera rehbar tere naksh paa meri manzil k
Tujhay main chillchilate dhoop main aanchal bnana chahta hon ,
cheen lo saharay mujh sy apnay piyaaray saray mujh sy
Bs do hosla mujhay main khud ko manvana chahta hon ,
poocha jo yaaro nay muskurahat ka sbab
to kehnay lga awais main hansi k pardy main dard apna chupana chahta hoon….


‘Aapne Hi Shehar K Log Satane Lage …

Dard Bhari Shayari

‘Aapne Hi Shehar K Log Satane Lage,
‘Yar Apni Mahfil Se Uth K Jane Lage,
‘Jab B izhar E Jazbat Chaha Main Ne,
‘Log Apna Apna Dard Sunane Lage,
‘Hamare Naam Se Chalti Thi Jinki Sansein Kbhi,
‘Aaj Wohi Hum Se Nazren Churane Lage,
‘Kya Khabar Thi K Ik Pal Mein Bichar Jaye Ga Wo,
‘Jise Apna Bnane Mein Zamane Lage,
‘Kya Karon Nazron Se Hat’ta Hi Nahi Wo Manzar,
‘Jab Haath Chhura Kar Mera Wo Jane Lage…


kahnay ko myra uss say koi waasta nahi ..

Dard Bhari Shayari

kahnay ko myra uss say koi waasta nahi,
amjad magar wo shakhs mujhy bulta nahi,
darta hun ankh khotun to manzar badal na jay,
main jaag to raha hun magar jaagta nahi,
ashfatgee say iss ke uss baywafa na jaan,
aadat ke baat aur hai dill ka burra nahi,
sahab nazar say karta hain phatar b guftugu ,
na jins k hazoor zaban kholta nahi ….


Dil-e-nadaan tujay huwa kaya hai..

Dard Bhari Shayari

Dil-e-nadaan tujay huwa kaya hai,
Aakhir iss dard kee dawa kaya hai,
Hum hain mushtaq aur wo byzaar,
Ya ilahe ye maajra kaya hai,
Main b moun may zaban rakhta huun,
Kash puchun K madda kaya hai,
Jab k tujh bin nahi koi majood,
Phir ye hangama ay khuda kaya hai…


Roshni meri bohat door tak haye gi..

Dard Bhari Shayari

Roshni meri bohat door tak haye gi,
Shart yeh hai ke saleekey se jalao mujhko..


Kaam jitna tha mohabbat ka, mohabbat ne kiya..

Dard Bhari Shayari

Kaam jitna tha mohabbat ka, mohabbat ne kiya,
Jitna hona tha zamaney ae, zamaney se hua..


Kisi zulf ke saaye mein hi humain neend ati thi..

Dard Bhari Shayari

Kisi zulf ke saaye mein hi humain neend ati thi,
Ab muyassar kisi deewar ka saaya bhi naheen..


Jee mein hi kuch nahi hai hamaray wagarna hum. . !

Dard Bhari Shayari

Jee mein hi kuch nahi hai hamaray wagarna hum. . !
Sir jaye yaar hai na rahain per kahay baghair . !


Junoo’n ki raah mein sab kuch ganwa diya lekin. . !

Dard Bhari Shayari

Junoo’n ki raah mein sab kuch ganwa diya lekin. . !
Mery shaoor ki awargi nahi jaati. . !

No comments:

Post a Comment