Four Lines Shayari

Four Lines Poetry is poetry in four lines. Four Lines Shayari is a kind of urdu poetry in only four lines.








Tumhari yaad or baraf-bari ka mausam..

Four Lines Poetry

Tumhari yaad or baraf-bari ka mausam,
sulagta raha dil ke andar akeley,
Irada tha jee loon ga tujh se bichar ke,
Magar guzarta nahi ab December akeley..


Qissa abbi hijaab se agey nahi barha..

Four Lines Poetry

Qissa abbi hijaab se agey nahi barha,
Main ap, abhi janab se agey nahi barha,
Muddat hui kitaab-e-mohabbat shuru kiye,
Lekin mein pehle baab se agey nahi barha..


Har ek shab meri taazah azaab mein guzri..

Four Lines Poetry

Har ek shab meri taazah azaab mein guzri,
Tumharay baad tumharay hee khwaab mein guzri,
Mein ek phool hun wo mujhe rakh ke bhool gaya,
Tamaam umer usi ki kitaab mein guzri..


Yaadon mein main apna naam bhool jata hoon..

Four Lines Poetry

Teri hi yaadon mein main apna naam bhool jata hoon,
Milna tha kis ko, sabhi main kaam bhool jata hoon,
Barri mushkil si hoti hai wapis hosh main aney ko,
Kab sona kab jagna, subah se shaam bhool jata hoon..


Kabhi hum tutey toh kabhi khwaab tutey..

Four Lines Poetry

Kabhi hum tutey toh kabhi khwaab tutey,
Na jane kitne tukron mein armaan tutey,
Har tukra aayina hai zindagi ka,
Har aayine ke saath laakhon jazbaat tutey..


Main bimaar-e-mohabbat hoon..

Four Lines Poetry

Main bimaar-e-mohabbat hoon,
Muje kya gharz hakeemo se,
Agar meri shifaa chaho,
To mera mehboob la do..


Gham’zadon par is qadar hota hai maazi ka assar..

Four Lines Poetry

Gham’zadon* par is qadar hota hai maazi ka assar,
Shadmaani main bhi aksar muskuraa saktey nahin,
Jis tarah do taalib-o-matloob naraazi ke baad,
Mudatton ik dusrey ke dilon se jaa saktey nahin..
(Gham’zadon;grieved person, sad person)
Abdul Hameed Adam


Anaa parast hai itnaa ke baat se pehle..

Four Lines Poetry

Anaa parast hai itnaa ke baat se pehle,
Woh uth ke band meri har kitab karde ga,
Main sach kahoon ga per haar jaaon ga,
Woh jhoot boley ga aur la’jawaab karde ga..


Ajeeb shakhss tha sapney dikhaa ke chorr geya..

Four Lines Poetry

Ghanney darakht ke neechey sulaa ke chorr geya,
Ajeeb shakhss tha sapney dikhaa ke chorr geya,
Yeh ujrra hua ghar to usi aik ki nishaani hai,
Jo apne naam ki takhti* lagaa ke chorr geya..
(takhti;nameplate)


Mohabbat farzz hoti ja rahi hai..

Four Lines Poetry

Mohabbat farzz hoti ja rahi hai,
Kisi ka qarzz hoti ja rahi hai,
Badan ko chaatt le gi ab yaqeenan,
Judaai marzz hoti ja rahi hai..


Ek ajeeb sa manzar nazar aata hai..

Four Lines Poetry

Ek ajeeb sa manzar nazar aata hai,
Har ek qatra samandar nazara aata hai,
Kahan banaaon main ghar sheeshey se,
Har kisi ke hath mein pathar nazar aata hai..


Yahaan alfaaz biktey hain..

Four Lines Poetry

Yahaan alfaaz biktey hain,
Tijaarat hai takhiyul ki,
Muhabbat aik paisha hai,
Tumhary sheher mein Mohsin..


Abhi bahaar baaqi hai chaman mein..

Four Lines Poetry

Abhi bahaar baaqi hai chaman mein,
Abhi shaakh se phool torna theek nahin,
Abhi sheher ke logon ko zarurat hai roshni ki,
Abhi hawaaon ka rukh morrna theek nahin..


Abhi to shikaytain hain dil badnaseeb se

Four Lines Poetry

Abhi to shikaytain hain dil badnaseeb se,
Ik din kisi ko dekh liya tha qareeb se,
Us ke baghair bhi wohi hai zindagi ka daur,
Halaat-e-zindagi bhi hain ajeeb se..


Rishte hasaas hote hain, Mohabbat anmol hoti hai..

Four Lines Poetry

Rishte hasaas hote hain,
Mohabbat anmol hoti hai,
Iss ishq ke bazaar mein,
Har cheez be-mol hoti hai..


Meri Tarha Mujhe Wo Bhi Udaas Lagta Hai.

Four Lines Poetry

Ek Ajnabi Hai Magar, Rooh Shanas Lagta Hai,
Meri Tarha Mujhe Wo Bhi Udaas Lagta Hai,
Karu’n Talash Toh Ho Shaq Wajood Par Usky,
Jo Aankhein Band Karun Toh Aas Paas Lagta Hai..!!!

Phir Aaj Koi Gazal Tere Naam Na Ho Jaye

Four Lines Poetry

Phir Aaj Koi Gazal Tere Naam Na Ho Jaye !!
Kahin Likhte Likhte Shaam Na Ho Jaye !!
Kar Rahe Hain Intezaar Teri Mohabbat Ka !!
Isi Intezaar Me Zindagi Tamam Na Ho Jaye !!

Gilley hain hazaron ke badle ho kyon tum

Four Lines Poetry

Gilley hain hazaron ke badle ho kyon tum,
Magar ab karain kyon gillaa ajnabi se,
Azal hai neendain ganwaaney ka silsila,
Yeh acha nahin silsila ajnabi se..

Dil jo toota hai to dil ke konon se

Four Lines Poetry

Dil jo toota hai to dil ke konon se,
Teri meri nishaniyan nikli’n,
Tu gaya hai to mere yaaron mein,
Kesi kesi kahaniyan nikli’n…

Mujh Se Rootho Na Tum, Khuda Ke Liye..

Four Lines Poetry

Aese Bichrro Nahin, Sadaa Ke Liye,
Mujh Se Rootho Na Tum, Khuda Ke Liye,
Main Ne Manga Hai Bas Tumhe Rab Se,
Hath Jab Bhi Uthey Dua Ke Liye..

Mujhe mere haal per chhor de

Four Lines Poetry

Mujhy Chhor Day Meray HaaL Par,
Tera Kya Bharosa Aey Hum Safar. . .!
Teri Mukhtasar Si Nawazishain
Mera DarD Aur Barhaa Na Dain..!!

Khud ko parhta hoon chorr deta hoon.

Four Lines Poetry

Khud ko parhta hoon chorr deta hoon,
Roz ik warq morr deta hoon,
Iss kadar zakhm mein nigahon mein,
Roz ik aayina torr deta hoon..
(warq;page)

Na theen aur koi bi Ranjishain..

Four Lines Poetry

Na theen aur koi bi Ranjishain,
Sirf Aadaton mein tazaad tha..!!
Ke Usey pasand theen Shokhiyaan,
Mujhe saadgi main kamal tha..!!

Khushiyon ki baraat adhoori chorr gaye ho ?

Four Lines Poetry

Khushiyon ki baraat adhoori chorr gaye ho,
Saajan dil ki baat adhoori chorr gaye ho,
Logon ki takmeel ka baye’s ban’ne wale,
Kyun-kar meri zaat adhoori chorr gaye ho…

Mahobbat me kuchh is tarah “wafa” karu..

Four Lines Poetry

Mahobbat me kuchh is tarah “wafa” karu,
Woh bhul b jae to me “yaad” karu,
Mahobbat ne bas itna “sikhaya” he muje,
K khud se pehle unke liye “dua” karu..

Ye wafa ka silaa hai

Four Lines Poetry

Ye wafa ka silaa hai to koi baat nahi,
Ye dard apno ne diya hai to koi baat nahi,
Yehi bahut hai ki vo dekh rahe hai kinare se,
Hum dub rahe hai to koi baat nahi…..

Chahta Hun Ke Bhool Jaon Tumhain

Four Lines Poetry

Chahta Hun Ke Bhool Jaon Tumhain
Aur Khud Bhee Na Yaad Aaon Tumhain
Jaisay Tum Sirf Ek Kahaani Thi
Jaisay Mein Sirf Ek Fasaana Tha

Tu Chala Gaya Mujhe chhor kar

Four Lines Poetry

Tu Chala Gaya Mujhe chhor kar,
Maine phir bhi Tujhko Sadaayen dii,
Mere HumSafar tu ruka Nahi,
Ye Meri Sada ki Shikast hai…



Dil yu hi kisipe aata nahi

Four Lines Poetry

Dil yu hi kisipe aata nahi,
har baat ki wajah me batata nahi,
dil chahata hai jaane usko hi kyun,
ye mein khud bhi abtak jaanta nahi


Bikhar gaye hain Mera intezar karte huye

Four Lines Poetry

Mere firaaq ke lamhe shumaar karte huye,
Bikhar gaye hain Mera intezar karte huye,
Main ny kaha samandar hain mari ankhon mein,
Woh inn mein doob gaya aitebaar karte hue..


Ek Muddat Se Mere Haal Se Begana Hai

Four Lines Poetry

Ek Muddat Se Mere Haal Se Begana Hai,
Jane Zalim Ne Kis Baat Ka Bura Mana Hai,
Mein Jo Ziddi Hoon Tu Wo Bhi Hai Ana Ka Qaidi,
Mere Kehne Per Kahan Us Ne Chale Aa Na Hai..


Hasna aur Hasaana to fitrat hai meri

Four Lines Poetry

Hasna aur Hasaana to fitrat Hai Meri,,,
Har k0i Khush Rahe ye K0shish hai Meri,,,
Chahe k0i Mujhe yaad kare ya na kare,,,
Sab k0 Yaad Rakhna Aadat Hai Meri,,


Saari umar tumko pyar mile

Four Lines Poetry

Saari umar tumko pyar mile,
Jo dil mai hy woh hazaar baar milay,
Bichar jate hyn milnay k bad bhi kuch log.
Jo kbi na bichre aisa tumko pyar mile..!


Main aik jazeera hon, Pyaar se bhara howa..

Four Lines Poetry

Main aik jazeera hon
Pyaar se bhara howa
Tum yahan par anay se pehle
Apna dil saaf kar lo…


Main ne us se bas itna hi puchha tha ki

Four Lines Poetry

Main ne us se bas itna hi puchha tha ki,
ek pal mein.. kiisi ki jaan kaise nikal jati hai,
Us Ne Chalte Chalte Apna Haath Mere,
Haath Se Chhura Liya………


Jo baat munasib hai woh hasil nahi karte

Four Lines Poetry

Jo baat munasib hai woh hasil nahi karte
Jo apni giraah me hai woh kho bhi rahe hain
Be ilm bhi humlog hain ghaflat bhi hai taari
Afsos ke andhe bhi hain aur so bhi rahe hain


Har chand sitare me tere tasveer nazar ayi

Four Lines Poetry

Har chand sitare me tere tasveer nazar ayi
Phir is tanha raat me teri yaad chali ayi
Door tujhse rehkar ye saans tham chuki thi
Jo kanhin naam tera aaya to saans chali ayi.


Salon bad najane kia samaa hoga

Four Lines Poetry

Salon bad najane kia sama hoga,
Hm sb doston me se najane kon kha hoga,
Phr milna hua to milenge khuwabo me,
Jese sukhe gulab milte hain kitabon me!


Unse milne ko jo sochon ab wo zamana nhi

Four Lines Poetry

Unse milne ko jo sochon ab wo zamana nhi
Ghar bhi kaise jaun ab to koi bahana nahi,,
Mujhe yaad rakhna kahi tum bhola na dena
Mana ke barson se teri gali me anajana nhi,,


Dard Jeet Jata Hai, Log Milty Julty Hain..

Four Lines Poetry

Dard Jeet Jata Hai..
Log Milty Julty Hain..
Sath Sath Chalty Hain..
Sath Sath Chalne Main..
Ranjishein Bi Hoti Hain..
Ranjishon Main Bi Lekin..
Chahatein Bi Hoti Hain..
Chahaton Ki Bi Har Pal..
Ik Ajab Kahani Hai..
Hot Hansty Rehty Hain..
Ankhein Bheeg Jati Hain..
Bheegi Si Nigahon Main..
Khuwab Jalty Bujty Hain..
Dard Ke Is Safar Main Kuch..
Aisy Mor Bi Aty Hain..
Khuwab Toot Jaty Hain..
Sath Choot Jaty Hain..
Kircheian Uthaney Main..
Waqt Beet Jata Hai..
Dard Jeet Jata Hai..


Har cheez yahan ki aani jaani dekhi

Four Lines Poetry

Duniya aik ajab saraye-faani* dekhi
Har cheez yahan ki aani jaani dekhi.
Jo aakay na jaaye woh burhapa dekhaa.
Jo jakay na aaye ..woh jawaani dekhi.


Ruthi Si Zindagi ko Manana To Aata Hai

Four Lines Poetry

Ruthi Si Zindagi ko Manana To Aata Hai,
Logon ko Hasana To Aata Hai,
Kya Hua Jo Na Bas Sake Kisi Ke Dil Mein,
Logon Ko Apne Dil Mein Basana To Aata Hai.


Shaiyed kisi rastay ki hawa

Four Lines Poetry

Maqrooz-e gham-e deeda-e tar hai tera Mohsin
Muddat say yoonhi khaak\’basar hai tera Mohsin
Shaiyed kisi rastay ki hawa teri khabar day
Iss waastay masroof-e safar hai tera Mohsin


Kya acha kya bura kya bhala dekha

Four Lines Poetry

kya acha kya bura kya bhala dekha,
ab bhi dekha tuhe apne ru ba ru dekha,
socha bahut bhulkar sochun na tujhe,
jis raat ankh lagi fir tujhe har su dekha.

Wo jo mera ho nigahon main haya rakhta ho

Four Lines Poetry

Wo jo mera ho nigahon main haya rakhta ho,
Umar bhar saath nibhay azm-e-waffa rakhta ho,
Naz uss kay na uthao to shikayat na kary,
Gham utha kar bhi muskarany ki ada rakhta ho.

Kaash wo nagme humein sunaye na hote

Four Lines Poetry

kaash wo nagme humein sunaye na hote,
aaj unko sunkar ye aansu na aaye hote,
agar is tarah bhul jaana hi tha,
to itni gehrai se dil mein samaaye na hote.

Mujhko Aisa Dard Mila Jiski Dawa Nahi

Four Lines Poetry

Mujhko Aisa Dard Mila Jiski Dawa Nahi
Per Bi Khush Hun Mujhe Us Se Koi Gila Nahi
Or Kitne Aanso Bahaon Us K Liye
Jisko Khuda Ne Mere Naseeb Main Likha Hi Nahi

Matt poochoo kya guzarti hai

Four Lines Poetry

Jiss dil pe na aaee chot kabhi woh dard kisi ka kya jane,
Khud shamma ko maloom nahi kyon jal jate hain parwaane,
Matt poochoo kya guzarti hai juda jab yaar hote hain,
Aansoo teer ban ke jigar ke paar hote hain.

Laga k aag shehar ko ye Badshah ne kaha

Four Lines Poetry

Laga k aag shehar ko ye Badshah ne kaha,
Utha hai dil mein Tamashay ka aaj shoq …bohat!
Jhuka k sir ko sabhi Shah-Parast Bol uthay,
Huzoor shoq salamat rahay shehar aur bohat..

Aag dil me lagi jab woh khafa hue

Four Lines Poetry

Aag Dil Me Lagi Jab Wo Khafa Hue
Mehsoos Hua Tab, Jab Wo Juda Hue
Karke Wafa Kuchh DE Na Sake Wo
Per Bahut Kuchh De Gaye Jb Wo Bewafa Hue

Jannat Ki Aarzu Mein Kahan Ja rahay Hain Log

Four Lines Poetry

Jannat Ki Aarzu Mein Kahan Ja rahay Hain Log,
Janat Tou Karbala Mein Khareedi HUSSAIN (R.A) ne,
Dunya o Aakhrat Mein Jo Rehna Ho Chain Se,
Jeena ALI se Seekho Marna HUSSAIN se…

Teri yaad me zara aankhe bhigo lu

Four Lines Poetry

Teri yaad me zara aankhe bhigo lu
Udas raat ki tanhai me so lu
Akele gum ka bojh ab sambhlta nahi
Agar tu mil jaye to tujse lipat kar ro lu…..

Tumhary khawab sajany main lutaf atta hay

Four Lines Poetry

Tumhary KHAWAB sajany main lutaf atta hay
K apna ap JALANAY main lutaf atta hay
Khuda sy apnay leay MANGTA hon jb tum ko
Mujhe yeh HATH uthany main lutaf atta hay

Chand utra tha hamare angan mein

Four Lines Poetry

Chand utra tha hamare angan me,
yeh sitaro ko gawara na hua,
hum bhi sitaron se kya gila kare,
jab chand hi hamra na hua.

Nikal aty hain ansu rone se pehly

Four Lines Poetry

Nikal aty hain ansu rone se pehly,
Toot jate hain? sab khawb sone se pehly,
kehty hein k pyar ik saza hy,
kash koi rok sakta pyar hone se pehly,

Karti hai sawalat musalsal uski nigah

Four Lines Poetry

Karti Hy Sawalat Musalsal Uski Nigah
Ye Trz-E-Takaluf Mjy Acha Nhi Lgta,
Kehte Hain Mjy Dekh Kr Aksr Mere Ehbab
Ye Shakhs Akela Hy Mgr Tnha Nhi Lgta.

Log samajhte hain humne unko bhula rakha hai

Four Lines Poetry

Log samajhte hain humne unko bhula rakha hai,
wo kya jane ki dil me chupa rakha hai,
dekhe na koi usay meri aankho mein,
isliye palkon ko hum nay jhuka rakha hai.

Koi khushiyon ki chah main roye

Four Lines Poetry

KoI KhUshiyO Ki ChAh MaiN RoyE.
Koi DukHon Ki PanaH SE RoyE.
AjEeb SilsiLa Hai IsHq AuR MohaBBat KA.
Koi WaFa kE LiyE RoyE AuR KoI WafA KaR kE RoyE




Main tumhe bhulane ki koshish

Four Lines Poetry

Jin Siddato Se Koshish Kar Raha Hu
Ab Main Tumhe Bhulane Ke
Kabhi Bahut Dil Se Dua Manga Karta Tha
Tumhe Apna Banane Ki


Nayi soch, Nayi baat

Four Lines Poetry

Hotay rahain iss dhoop main tehleel kahaan tak,
Aay waqt teray hukm ki taa’meel kahaan tak,
Her aan naye harf, nayii soch, nayii baaat,
Aakhir koi khud ko kray tabdeel kahaan tak.
(Taameel:Follow)(Tabdeel:Change) (Aan:Way)


Kisi ne hume rulaya

Four Lines Poetry

Kisi ne hume rulaya to kya bura kiya,
Dil ko dhukaya tho kya bura kiya,
Hum to pehlese hi tanha the….
Kisi ne ehasas dilaya to kya bura kia.


Dard se hum ab khelna seekh gaye

Four Lines Poetry

Dard Se Hum Ab Khelna Seekh Gaye,
Hum Bawafai Ke Saath Jeena Seekh Gaye,
Kya Batayein Kis Kadar Dil Toota Hai Mera,
Maut Se Pehle, Kafan Aud Ker Sona Seekh Gaye….!


Ajab rasm hai

Four Lines Poetry

Ajab Rasm hai Chara Garr’on ki Mehfil mai
Lga ker Zakhm Namak se Masaaj krty hain
Ghareeb-e-Sheher tarasta hai ik Niwaley ko
Ameer-e-sheher k Kuttey b raaj kerty hain
(Mehfil:Gathering)(Rasm:Tradition)(Niwaley:Bites of food)


Jeena chaha magar jee na sake tere bin

Four Lines Poetry

Jeena Chaha Magar Jee Na Sake Tere Bina
Char Daman Hum See Na Sake Tere Bina
Tune Mujhe Bhool Kar Nai Duniya Basali
Hum To Muskura Bhi Na Sake Tere Bina


Humara dil dukhana chahiye tha

Four Lines Poetry

Wafa ko aazmana chahiye tha humara dil dukhana chahiye tha
Aana na aana meri marzi hai tumko to bulana chahiye tha
Humari khwaahish ek ghar ki thi use sara zamaana chahiye tha
Meri aankhein kaha nam hui thi samundar ko bahana chahiye tha


Be-khaloos logoon se ijtenab karna hai

Four Lines Poetry

Be-khaloos logoon se
ijtenab karna hai
mujh ko apnay rishtoon ka
ehtasab karna hai,
tum ko bhool jana hai
tum ko yaad rakhna hai
dukh tu aik jaisa hai
intakhab karna hai……….!!!


Tere baghair is zindagi ki hume zarurat nah

Four Lines Poetry

Tere baghair is zindagi ki hume zarurat nahi,
Tere siwa hume kisi or ki chahat nahi,
Tum he rahoge humesha mere dil mai,
Kisi or ko is dil mai aane ki Ejazat nahi.!


Hath se hath churaney lage ho

Four Lines Poetry

Hath se hath churaney lage ho
Mujhko pathar ka banane lage ho
Zara thehro mein yakeen tou karloon
Tum mujhe chor ke janey lage ho…


Ab k Ishq Ne Aisi Meri Halat kar dee

Four Lines Poetry

Ab k Ishq Ne Aisi Meri Halat kar dee..
Aine Ne Bhi Inkaareye Soorat Kar dee.
Oos ki Rukhsat Pe Junoon Aisa Utha..
Ham Ne Shehar Bhar Ki Ankhon Me Wehshat Bhar dee.


Raat chup thi magar

Four Lines Poetry

Rat chup the magar khmosh na thi
Ankhan the khuly magar hosh na thi
Band tha dil magar mot na thi
Sab kuch tha magar be-loss na thi


Allah bachaye marz-e-ishq se

Four Lines Poetry

Allah bachayai marz-e-ishQ sai dil ko,
suntai hai kai yai aarza acha nahi hotha.
hum ah bhi kartai hai tou ho jatai hai badnaam,
wo Qatal bhi kartai hai tou charcha nahi hotha


Mohabbat ka tamasha

Four Lines Poetry

Khatam Tha Ham Pe Mohabbat Ka Tamasha Goya
Rooh Aur JisM ko HaR RoZ JudA KarTay Rahay
Zindagi Ham Se Tere NaaZ Na Uthaye Gaye
Saans Lainay Ki Faqat RasM Ada Kartay Rahay ….!


Nazar lagi zamane ki

Four Lines Poetry

Naa Jaane Kyn nazar Lagi Zamane Ki,
Ab Wajah Milti Nhi Muskurane Ki
Tumhara Gussa Hona To Jayaz Tha,
Humari Aadat Chut Gayi Manane Ki.

Bewafa ki yaado ko

Four Lines Poetry

Bewafai oski mita ky aya hun..
Khat osky paani me baha kr aya hun..
Koi parh na ly os bewafa ki yaado ko..
Esleay paani me bi AAG laga kr aya hun..

Na koi jane mujhe

Four Lines Poetry

Na Koi Jaane Mujhe Na Main Kisi Ko Jaanu
Meri Pehchaan Ko Ab Tum Mita Do
Main Ab Reh Nahi Sakti Oosse Juda Hokar
Mujhe Qatl Kar Do Ya Karwa Do………..

To hi mil jai mujhy bas

Four Lines Poetry

To hi mil jai mujhy bas itna hi kafi hai.
Meri har sans ny bas yeh hi dowa mangi hai
Jany kiyo dil khincha Chala jata hai Teri Taraf
Kiya to ny Bhi mujhy pany ki dowa mangi hai

Ishq ne hame benam kardiya

Four Lines Poetry

Ishq Ne hame Benam kar Diya
Har Khushi se Anjan Kar diya
Hamne Khbhi Nahi chaha Ki Hame Ishq Ho
Par unki Ek Nazr ne Hume Nilam Kar Diya

Main kabhi kabhi

Four Lines Poetry

Main uske chehre ko dil se utar deti hoon,
Main kabhi kabhi to khud ko bhi mar deti hoon,
Ye mera haq hai ke main usko thora dukh b doon,
Main chahat bhi to use beshumar deti hoon.
Khafaa woh reh nahin sakta lamha bhar bhi,
Mein bohat pehle hi us ko pukaar leti hoon.
Mujhe siwa uske koi bhi kaam nahin soojhta,
Woh jo bhi karta hai, mein sab hisaab leti hoon.
Woh sabhi naaz uthaata hai mein jo bhi kehti hoon,
Woh jo bhi kehta hai, Mein chupke se maan leti hoon.

Aik Pal Ka Ehsas

Four Lines Poetry

Aik Pal Ka Ehsas Bankar Ate Ho Tum
Dosre Hi Pal Khuwab Bankar Ur Jate Ho Tum
Janty Ho K Lagta Hia Dar Tanhaiyo se
Phr Be Bar Bar Tanha Chor jate ho Tum.

Har Ek Chehre Pe

Four Lines Poetry

Har Ek Chehre Pe Guman Uska Tha
Basa Na Koi DiL Me Ye Khali Makan Uska Tha
Tamam Dukh Mere DiL Se Mit Gaye Lekin
Jo Na Mit Saka Wo 1 Naam Uska Tha.

Wafa Ki Jung

Four Lines Poetry

Wafa Ki Jung Mat Larna Ye Baykaar Jati Hai !!!!
Zamana Jeet Jata Hai Mohabbat Haar Jati Hai !!!!
Hmara Tazkira Chourou Hum Aisy Loog Hai Jin Ko !!!!
Zamana Kuch Nhe Kehta Judai Maar Jati Hai !!!!

Tum haqeeqat nahi

Four Lines Poetry

Tum haqeeqat nahi ho hasrat ho”
jo miley khawab main wahi dolat ho
kiss liye dekhti ho aaina
tum to khud se b zeyada khubsurat ho…….




No comments:

Post a Comment