Two Lines

Two Lines Poetry and Two Lines Shayari is poetry in two lines. Two Lines Poetry is expressed in just two lines. Two Lines Shayari is very popular form of urdu poetry.






Uljhi nigaahon ne musalsal mujhe dekhta raha..

Two Lines Poetry

Uljhi nigaahon ne musalsal mujhe dekhta raha,
Aayiney mein kharra shakhss pareshan bohat tha..


Yeh mohabbat bhi hai kya rog Faraz..

Two Lines Poetry

Yeh mohabbat bhi hai kya rog Faraz,
Jisey bhooley woh sadaaa yaad aaya..


Us ka deewana hoon uss ko mehboob hoon..

Two Lines Poetry

Us ka deewana hoon uss ko mehboob hoon,
Kya yeh kam hai ke us se mansoob hoon..
Baba Bulleh Shah


Kaheen aur bhi ho jaaon naa raiza raiza..

Two Lines Poetry

Kaheen aur bhi ho jaaon naa raiza raiza,
Aisa toota hoon ke jurrty huye darr lagta hai…


Usey apna bananey ki zid mein..

Two Lines Poetry

Usey apna bananey ki zid mein,
Apne bhi paraaye kiye hum ne..


Meri mushkil ka hall koi nahin hai..

Two Lines Poetry

Meri mushkil ka hall koi nahin hai,
Tera naim-ul-badal* koi nahin hain..
(naim-ul-badal;alternative)


Sangsaari ki sazaa hai manzoor mujh ko..

Two Lines Poetry

Sangsaari* ki sazaa hai manzoor mujh ko,
Hath jiss ke na hon alooda* woh pathar marey..
(sangsaari;throwing stones, alooda;dirty)


Tumhari misaal, Na-mumkin hai..

Two Lines Poetry

Tumhari Misaal, Na-Mumkin Hai,
Tumhara Akss Bhi, Tum Sa Nahi.


Jis ne bhi bura haal bana rakha hai..

Two Lines Poetry

Ishq mein jis ne bhi bura haal bana rakha hai,
So wohi kehta hai “ajee is mein kya rakha hai”..


Hussn wohi hai hussn jo zalim..

Two Lines Poetry

Hussn wohi hai hussn jo zalim,
Hath lagaaye hath na aaye..


Puchtey hain kya hua dil ko..

Two Lines Poetry

Puchtey hain kya hua dil ko,
Husn walon ki saadgi na gayi..


Husn waley husn ka anjaam dekh..

Two Lines Poetry

Husn waley husn ka anjaam dekh,
Doobtey suraj ko waqt-e-shaam dekh..


Darta hoon kehne se ke mohabbat hai tumse.

Two Lines Poetry

Darta hoon kehne se ke mohabbat hai tumse,
Meri zindagi badal de ga, tera iqrar bhi, inkaar bhi..


Meri kheriyat bhi puchi to..

Two Lines Poetry

Yeh inaaayat’en ghazab ki, bala’aa ki meherbani,
Meri kheriyat bhi puchi to kisi aur ki zubaani…


Mohabbat tera mera masla hai…

Two Lines Poetry

Mat maaang duaaye’n jab,
Mohabbat tera mera masla hai..

Yeh kiya nahin, woh hua nahin, yeh mila nahin…

Two Lines Poetry

Mera kaarnama-e-zindagi meri hasraton ke siwa kuch nahin,
Yeh kiya nahin, woh hua nahin, yeh mila nahin, woh raha nahin..

Ajab tilassm hay tere wajood ka mujh per..

Two Lines Poetry

Ajab tilassm* hay tere wajood ka mujh per,
Toota mera har khuwaab magar yeh nahin toota..
(tilassm;magic,jadu)
Sadia Shakil

Hum se kab mansoob hai ronaq tumhare bazam ki…

Two Lines Poetry

Hum se kab mansoob hai ronaq tumhare bazam ki,
Hum na hon ge tab bhi ho gi subha teri..Sham teri…

Be-laus mohabbat ke silslay ab hatam..

Two Lines Poetry

Be-laus mohabbat ke silslay ab hatam,
Jis tarah ki duniya ab usi tarah ke hum..

Mohabbat tera mera masla tha..

Two Lines Poetry

Mohabbat tera mera masla tha,
Zamana darmeyaan kyun ageya hai..

Mohabbat kis ko kehtey hain..

Two Lines Poetry

Mohabbat kese hoti hai, Mohabbat kis ko kehtey hain,
Tera majboor kar dena, mera majboor ho jaana..

Asaan nahin abaad ghar karna mohabbat ka..

Two Lines Poetry

Jalaal asaan nahin abaad ghar karna mohabbat ka,
Yeh un ka kaam hai jo zindagi barbaad karte hain..

Abhi na chairr mohabbbat ke geet..

Two Lines Poetry

Abhi na chairr mohabbbat ke geet, mere yaar,
Abhi zindagi ka mahol saazgaar nahin..

Mohabbat ki manzil hi shayed nahin hai..

Two Lines Poetry

Mohabbat ki manzil hi shayed nahin hai,
Ke jab dekhiye imtihaan aur bhi hain..

Un ka tazkra karay har koi..

Two Lines Poetry

Ya to un ka tazkra karay har koi,
Ya koi hum se guftgu na karay..

Tabeer to kab apney muqadar mein koi hai!!

Two Lines Poetry

Tabeer to kab apney muqadar mein koi hai!!
Aao key koi hasee’n khawab orh key so’ein..

Tum dil key aney janey sey kuch bad-guma’n sey ho..

Two Lines Poetry

Tum dil key aney janey sey kuch bad-guma’n sey ho..
Mera hua to kiya, tumhara hua to kiya.!!

Tum apney khayal’on ko mujhey sonp ker dekho..

Two Lines Poetry

Tum apney khayal’on ko mujhey sonp ker dekho..
Har shaks amanat mein khayanat nahi’n karta!

Tum ko shehar-e-khayal mein rehna kesa lagta hai.!

Two Lines Poetry

Tum ko shehar-e-khayal mein rehna kesa lagta hai.!
Wo basti jo dil mein basai kesi lagti hai!!

Tanhai’yan kuch is tarha sey dasney lagi mujhey!!

Two Lines Poetry

Tanhai’yan kuch is tarha sey dasney lagi mujhey!!
Mein aaj apney pao’n ki ahat sey dar gaya..

Tarey key totney ko tum ghor sey na dekho..

Two Lines Poetry

Tarey key totney ko tum ghor sey na dekho..
Sadkey uter rahey hein tum per ye asma’n sey!!

Tasweer sey kisi key mein ney ki hai guftgu bars’on..

Two Lines Poetry

Tasweer sey kisi key mein ney ki hai guftgu bars’on..
Rahi hai ik tasweer-e-khayali bars’on.!!

Tasweer mein chaley aye ho magar kuch terna sekho.!

Two Lines Poetry

Tasweer mein chaley aye ho magar kuch terna sekho.!
Tum aksar doop jatey ho meri ankh’on key tofa’n mein..

Tum bin dar-o-dewar pey wehshat ka sama’n hai..

Two Lines Poetry

Tum bin dar-o-dewar pey wehshat ka sama’n hai..
Sehra mujhey lagta hai, ye ghar aur ziada.!!

Tabeer sey mehrom meray khawab bohat thay!!

Two Lines Poetry

Tabeer sey mehrom meray khawab bohat thay!!
Sada si kahani thi magar baab bohat thay..

Teri hi yaad’on ka chehra chamka hai..

Two Lines Poetry

Teri hi yaad’on ka chehra chamka hai..
Jab bhi tanhai key sholey bharkey hein.!!

Thehar ja mein ik akhri jam pi loun..

Two Lines Poetry

Thehar ja mein ik akhri jam pi loun..
Bahar’on ko hukam-e-khiza’n denay waley

Toot key milney jolney sey dar sa lagta hai..

Two Lines Poetry

Toot key milney jolney sey dar sa lagta hai..
Wo bhi hum sey chot jaye ga aisa lagta hai.!!

Tankey na toot jain ye rakhna zara kahyal…

Two Lines Poetry

Tankey na toot jain ye rakhna zara kahyal…
Zakham-e-jigar ko piyar sey tum ney seya to hai.!!

Toot jaye na bharam hont hila’on kesay.??

Two Lines Poetry

Toot jaye na bharam hont hila’on kesay.??
Hal jesa bhi hai log’on ko suna’on kesay..

Toota tilism-e-waqt to kiya dekhta hon mein.!

Two Lines Poetry

Toota tilism-e-waqt to kiya dekhta hon mein.!
Ab tak isi jagha pey akela khara hon mein..

Toot key sahil pey bikhar jatey hein..

Two Lines Poetry

Toot key sahil pey bikhar jatey hein..
Aisey rishtey jinh’ein zanjeer nahi’n milti hai….

Thehar jao to nahi’en hai basti’yon mein rasta..

Two Lines Poetry

Thehar jao to nahi’en hai basti’yon mein rasta..
Chal paro to pani’yon per rahguzar mojod hai.!!

Toot janey sey sitar’on ney bhi woqat khoi!!!

Two Lines Poetry

Toot janey sey sitar’on ney bhi woqat khoi!!!
Meray ansoo meri palk’on mein sambhaltey rehna..

Tik bhi na mur key meri taraf tu ney ki naigah.!!

Two Lines Poetry

Tik bhi na mur key meri taraf tu ney ki naigah.!!
Ik umar teray pechay mein zalim laga phira..

Thehri hai khamoshi hi agar tarz-e-guftugu!

Two Lines Poetry

Thehri hai khamoshi hi agar tarz-e-guftugu!
Khamosh reh key tujh ko pukara kar’en gey hum..!!

Totna dil ka koi aisi nai baat nahi’en.!

Two Lines Poetry

Totna dil ka koi aisi nai baat nahi’en.!
Torney waley teri kahir, paresha’n kiun hai…

Tota to kitney aina khan’on pey zad pari..

Two Lines Poetry

Tota to kitney aina khan’on pey zad pari..
Atka hua galey mein jo pathar sada ka tha!!

Tota tilism-e-arzo muhabbat kuch is tarha..

Two Lines Poetry

Tota tilism-e-arzo muhabbat kuch is tarha..
Phir arzo ki shama firoz’an na ker sakey!

Tik khabar ley key har ghari hum ko.!

Two Lines Poetry

Tik khabar ley key har ghari hum ko.!
Ab judai bohat satati hai..

Sabot mang rahey hein meri tabahi ka..

Two Lines Poetry

Sabot mang rahey hein meri tabahi ka..
Mujhey tabah kiya jin ki ranj adai ney.!

Sabit qadam wo rehtay thay har haq ki bat per..

Two Lines Poetry

Sabit qadam wo rehtay thay har haq ki bat per..
Sajda khuda ka kertay thay khanjar ki dhar per!!

Sabit hua key mujh sey muhabbat nahi rahi…

Two Lines Poetry

Sabit hua key mujh sey muhabbat nahi rahi…
Wo shaks mujh ko dekh ker nazar chura gaya.!

Sani haider ka do alam key baya’n mein nahi!

Two Lines Poetry

Sani haider ka do alam key baya’n mein nahi!
Koi shair aisa shujat key meda’n mein nahi..

Sabit hua inteshar sey ye aye zameen..

Two Lines Poetry

Sabit hua inteshar sey ye aye zameen..
Tu bhi inhein dabati hai jin mein key dam nahi.!!

Sabot hai ye muhabbat ki sada lohi ka..

Two Lines Poetry

Sabot hai ye muhabbat ki sada lohi ka..
Jab is ney wada kia hum ney aitbar kia.!

Jin pey hota hai bohat dil ko bharosa Tabish.!!

Two Lines Poetry

Jin pey hota hai bohat dil ko bharosa tabish.!!
Waqt paney pey wohi log dhoka detay hein ..

Janey kis bat key log kia nikal’ein mani..

Two Lines Poetry

Janey kis bat key log kia nikal’ein mani..
Apney honth’on pey tabasum na sajaye rakho.!!

Jo galey milo gey tapak sey koi hath bhi na milaye ga..

Two Lines Poetry

Jo galey milo gey tapak sey koi hath bhi na milaye ga..
Naye mizaj ka shehar zara fasley sey mila karo!

Jo is taraf sey guzar ho to pochtey ana.!

Two Lines Poetry

Jo is taraf sey guzar ho to pochtey ana.!
Koi kiran meray hisay ki mehtab mein hai..

Jee to ata hai ulat dein un key chehray sey niqab..

Two Lines Poetry

Jee to ata hai ulat dein un key chehray sey niqab..
Hosla kertay hein per hosla hota nahi’ein..

Jab tum ko meray nam sey nisbat nahi koi.!

Two Lines Poetry

Jab tum ko meray nam sey nisbat nahi koi.!
Kiun ja key bazam-e-ghair mein ruswa kia mujhey..

Jagtey jagtey jangal hoi’n ankh’ein meri..

Two Lines Poetry

Jagtey jagtey jangal hoi’n ankh’ein meri..
Wo muhabbat ki dhanak orh key sota ho ga!

Jesay jisi pehchaney huay hath ney barh ker!

Two Lines Poetry

Jesay jisi pehchaney huay hath ney barh ker!
Takleef key alam mein mujhey tham liya hai..

Jado hai ya tilism tumhari zaban mein.!!

Two Lines Poetry

Jado hai ya tilism tumhari zaban mein.!!
Tum jhoot keh rahey thay, mujhey aitbar tha..

Jo keh chukey hein bas wohi kafi hai dosto..

Two Lines Poetry

Jo keh chukey hein bas wohi kafi hai dosto..
Ab is udas dour mein ashar kia kah’ein.!!

Jafa key nam pey tum kiun sambhal key beth gaye.!

Two Lines Poetry

Jafa key nam pey tum kiun sambhal key beth gaye.!
Tumhari baat nahi baat hai zamaney ki..

Jaha’n wo aish ki baat’ein guzar gaye darwesh..

Two Lines Poetry

Jaha’n wo aish ki baat’ein guzar gaye darwesh..
Waha’n ye ranj key din bhi guzar jain gey.!!

Janey kis rah sey hum guzar aye hein..

Two Lines Poetry

Janey kis rah sey hum guzar aye hein..
Zakham-e-dil,zakham-e-jegar phir sey bhar aye hein.!

Jin jharonk’on sey hum guzar aye hein..!

Two Lines Poetry

Jin jharonk’on sey hum guzar aye hein..!
In sey barsey bhi to chamaktey huay khanjar barsey!

Jeet asa’n nahi aur raat mushkil thi..!!

Two Lines Poetry

Jeet asa’n nahi aur raat mushkil thi..!!
Jo jan bojh ker apni maat karta tha..

Jo dobey koi to chup chap khara rehta tha..

Two Lines Poetry

Jo dobey koi to chup chap khara rehta tha..
Aur doop jaye to phir apna hath kerta tha.!!

Janey kitney dost meray pathar key bot ban jain..

Two Lines Poetry

Janey kitney dost meray pathar key bot ban jain..
Is khof sey dey nahi sakta mein awaz kisi ko.!!

Jitney bhi lafz hein wo mehaktey gulab hein..

Two Lines Poetry

Jitney bhi lafz hein wo mehaktey gulab hein..
Lehjay key farq sey inh’ein talwar mat bna..!

Jo tar toot gaye hein wo jor nahi saktey.!!

Two Lines Poetry

Jo tar toot gaye hein wo jor nahi saktey.!!
Karam ki aas na do, baat ko barhao nahi’n!

Jis ko pa ker hum ye samjhey thay key kuch khoya nahi!

Two Lines Poetry

Jis ko pa ker hum ye samjhey thay key kuch khoya nahi!
Wo jo bichra hai jesay koi bhi apna nahi’n..

Jis qadar mein ney mitaye teri yaad’on key naqosh..

Two Lines Poetry

Jis qadar mein ney mitaye teri yaad’on key naqosh..
Dil-e-betab ney itna hi tujhey yaad kia..!

Je dhondta hai bazm-e-tarb mein inh’ein magar.!

Two Lines Poetry

Je dhondta hai bazm-e-tarb mein inh’ein magar.!
Wo aye anjuman mein to phir anjuman kaha’n..

Janey kiun ap key rukhsar mehak uthtey hein..

Two Lines Poetry

Janey kiun ap key rukhsar mehak uthtey hein..
Jab bhi kan mein chupkey sey kaha eid ka chand..!!

Jab khuli ho gi teray dosh per zulf..

Two Lines Poetry

Jab khuli ho gi teray dosh per zulf..
Abr bhi toot ker barsa ho ga.!

Janey ab tak kesay roshan hai hatheli per charag..?

Two Lines Poetry

Janey ab tak kesay roshan hai hatheli per charag..?
Warna mousam ki hawa ka muda aur hi tha..

Jo bhi rasta is ki janib ley jaye..

Two Lines Poetry

Jo bhi rasta is ki janib ley jaye..
Asa’n ya doshwar hai, mujh ko piyara hai.!!

Jaha’n sey bhi guzray tawajah sey guzray..

Two Lines Poetry

Jaha’n sey bhi guzray tawajah sey guzray..
Samandar sey kertay hein sehra ki baat’ein.!!

Jo be-khabar raha hai meray izterab sey.!

Two Lines Poetry

Jo be-khabar raha hai meray izterab sey.!
Kehta hai kesay tark-e-taluq kar’on ga mein..

Jo apney humsafar thay dobara nahi’ein miley..

Two Lines Poetry

Jo apney humsafar thay dobara nahi’ein miley..
Pechay jo reh gaye thay, meray hum-qadam hoay.!

Jab koi shokh si bad-e-saba chalti hai..

Two Lines Poetry

Jab koi shokh si bad-e-saba chalti hai..
Teri yaad’on key chaman raz mehak jatey hein..!

Jo roshani mein kharey hein wo jantey hi nahi..

Two Lines Poetry

Jo roshani mein kharey hein wo jantey hi nahi..
Hawa chaley to charag’on ki zindagi kia hai..

Jatey hoay kehtay ho qayamat mein mil’ein gay..!!

Two Lines Poetry

Jatey hoay kehtay ho qayamat mein mil’ein gay..!!
Kiya khoob qayamat ka hai goya koi din aur..

Jam-e-may penay sey pehlay mera je chahta hai..

Two Lines Poetry

Jam-e-may penay sey pehlay mera je chahta hai..
Bikhri zulf’on ki ghata’on sey lipat ker ro’on

Janey kab tak teri tasweer nigah’on mein rahi…

Two Lines Poetry

Janey kab tak teri tasweer nigah’on mein rahi…
Ho gai raat teray aks ko taktey taktey!

Jaha’n rahey ga waha’n hi roshni lotaye ga..!

Two Lines Poetry

Jaha’n rahey ga waha’n hi roshni lotaye ga..!
Kisi charag ka apna maka’n nahi hota..

Jazba-e-ehsas barh jata hai warna admi..

Two Lines Poetry

Jazba-e-ehsas barh jata hai warna admi..
Pathar’on ki kokh sey hargiz janam leta nahi…

Jaha’n bhi kashti’yan hum ney pani mein uteri..

Two Lines Poetry

Jaha’n bhi kashti’yan hum ney pani mein uteri..
Safar sey munharif honay ka farman pohancha..!!

Jab itni be-wafai per dil is ko yaad kerta hai…

Two Lines Poetry

Jab itni be-wafai per dil is ko yaad kerta hai…
Elahi wo sitamgar ba-wafa hota to kia hota..??!

Jhot ka aisa raj hai yaro zehan’on per apney..

Two Lines Poetry

Jhot ka aisa raj hai yaro zehan’on per apney..
Jo bhi sach boley wo hum ko jhota lagta hai

Je baya’n mein kiun nahi lagta.!!

Two Lines Poetry

Je baya’n mein kiun nahi lagta.!!
Ghar mein kiya tha key jis ki yaad aai..

Jita jita key muhabbat, dikha dikha key khalos..

Two Lines Poetry

Jita jita key muhabbat, dikha dikha key khalos..
Barey fareb sey loota hai dost’on ney mujhey.!!

Jis key naseeb mein hon zamaney ki thokar’ein!

Two Lines Poetry

Jis key naseeb mein hon zamaney ki thokar’ein!
Us bad-naseeb sey na sahar’on ki baat ker..

Jo hum ney dekha to ‘Daagh’ tha jawani ka..!!!

Two Lines Poetry

Jo hum ney dekha to ‘Daagh’ tha jawani ka..!!!
Jo dil ko ghor sey dekha to zakham gehray thay..

Jisey hota nahi ehsas aur’on ki musibat ka..

Two Lines Poetry

Jisey hota nahi ehsas aur’on ki musibat ka..
Wo ik pathar to ho sakta hai lekin dil nahi hota.!!

Jungal jaley to in ko khabar tak na ho saki.!

Two Lines Poetry

Jungal jaley to in ko khabar tak na ho saki.!
Chai ghata to jhoom uthey basti’on key log..

Jin key dil pathar baney, jin ki zaba’n khanjar baney..

Two Lines Poetry

Jin key dil pathar baney, jin ki zaba’n khanjar baney..
Aisy be-dard’on sey ehal-e-dard kiun ker baney..

Jalti hai kitni dair hawa’on mein meray sath..

Two Lines Poetry

Jalti hai kitni dair hawa’on mein meray sath..
Ik shama meray liye roshan hui to hai.!!

Jab bhi kisi sey kehnay hum apney gham gaye..

Two Lines Poetry

Jab bhi kisi sey kehnay hum apney gham gaye..
Honth’on pey atey atey alfaz jam gaye..!!

Jo apni zaat sey bahir na nikal saktey!

Two Lines Poetry

Jo apni zaat sey bahir na nikal saktey!
Unh’ein thokar’ein do char aye zamana laga…

Jab kisi sey koi peyman-e-ehad kerta hai..

Two Lines Poetry

Jab kisi sey koi peyman-e-ehad kerta hai..
Kanp uthta hun key mera sa hi anjam na ho.!

Judai’yan to ye mana bari qayamat hein.!

Two Lines Poetry

Judai’yan to ye mana bari qayamat hein.!
Rafakat’on mein hein dukh kis kadar kiya kahiye..

Jab kashti sabit-o-salim thi, sahil ki tamana kis ko thi..

Two Lines Poetry

Jab kashti sabit-o-salim thi, sahil ki tamana kis ko thi..
Ab aisi shikasta kashti per sahil ki tamana kon karey..?!!!

Jab harf na-shanas yaha’n lafz feham hein..

Two Lines Poetry

Jab harf na-shanas yaha’n lafz feham hein..
Kiun zoq-e-shear dey ker tamasha kiya mujhey..!

Janaza rok ker mera wo is andaz sey bolay..

Two Lines Poetry

Janaza rok ker mera wo is andaz sey bolay..
Gali hum ney kahi thi tum to duniya chorey jatey ho!!

Jee mein hi kuch nahi hai hamaray wagarna hum. . !

Two Lines Poetry

Jee mein hi kuch nahi hai hamaray wagarna hum. . !
Sir jaye yaar hai na rahain per kahay baghair . !

Jahan faqeero’n ko ghair leti hai. . !

Two Lines Poetry

Jahan faqeero’n ko ghair leti hai gardish-e-zamana. . !
Wahan se rasta zarur jata hai koo-e-soo-e-sharab khana. . !

Jurm-e-ulfat per humain log saza dety hain.

Two Lines Poetry

Jurm-e-ulfat per humain log saza dety hain.
Kaisy nadaan hain sholo’n ko hawa dety hain.

Jo naqab-e-rukh utha di tou ye qaid bhi laga di. .

Two Lines Poetry

Jo naqab-e-rukh utha di tou ye qaid bhi laga di. .
Uthay har nigah lekin koi baam tak na pohnchy. .

Jaaingy hum bhi khuwab k us sheher ki taraf. . !

Two Lines Poetry

Jaaingy hum bhi khuwab k us sheher ki taraf. . !
Naao palat tou aaye musafir utaar k . . !

Aaj kal chup k rotay hain. . !

Two Lines Poetry

Jo shaad phirtay thy, aaj kal chup k rotay hain. . !
Hazaar shukar gham paidaar apna hai. . !

Junoo’n ki raah mein sab kuch ganwa diya lekin. . !

Two Lines Poetry

Junoo’n ki raah mein sab kuch ganwa diya lekin. . !
Mery shaoor ki awargi nahi jaati. . !

Jo hua izn-e-ehel-e-gulshan, to mein har kali se kah doon. . !

Two Lines Poetry

Jo hua izn-e-ehel-e-gulshan, to mein har kali se kah doon. . !
Tera muzmahil tabassum mery zauq pe giran hai. . !

Baja k aankh mein neendo’n k silsilay bhi nahi.

Two Lines Poetry

Baja k aankh mein neendo’n k silsilay bhi nahi.
Shikast-e-khuwab k ab mujh mein hoslay bhi nahi. . !

Jo tumhari tarha tum se koi jhootay waday karta. . !

Two Lines Poetry

Jo tumhari tarha tum se koi jhootay waday karta. . !
Tum hi munsifi se kah do tumhain aitebar hota. . ?

Jaam bhar de takallufaat na kar. . !

Two Lines Poetry

Jaam bhar de takallufaat na kar. . !
Hum faqeero’n se aisi baat na kar. . !

Jab ghar se uth kharray huay to phir poochna hi kia?

Two Lines Poetry

Jab ghar se uth kharray huay to phir poochna hi kia?
Manzil kahan se paas paraigi, kahan se door. . !

Jo zindagi thi meri jaan! tere saath gai. . !

Two Lines Poetry

Jo zindagi thi meri jaan! tere saath gai. . !
Bus ab tou umer k naqshay mein wakt bharna. . !

Jo log jaan boojh k nadaan ban gaye. . !

Two Lines Poetry

Jo log jaan boojh k nadaan ban gaye. . !
Mera khayal hai k wo insaan ban gaye. . !

Jatay hain liye salaam aseero’n ka ae qafas!

Two Lines Poetry

Jatay hain liye salaam aseero’n ka ae qafas!
Zinda rahy to aa k milaingy bahaar mein. . !

Jis tarha tark-e-talluq pe hai israar ab k. . !

Two Lines Poetry

Jis tarha tark-e-talluq pe hai israar ab k. . !
Aisi shiddat to mery ehd-e-wafa mein bhi na thi. . !

Jala kar shama-e-ulfat aap ne foran hi gul kar di. . !

Two Lines Poetry

Jala kar shama-e-ulfat aap ne foran hi gul kar di. . !
Khudara ye bata dejiye k parwano’n ka kia ho ga. ?

Jisy dekho wo kehta hai k un ko bhool jain hum. . !

Two Lines Poetry

Jisy dekho wo kehta hai k un ko bhool jain hum. . !
hamara ghum barhanay ko hamaray ghum-gusaar aaye. . !

Jab wo hamrah tha bahir tha samajh se apni. . !

Two Lines Poetry

Jab wo hamrah tha bahir tha samajh se apni. . !
Ab nahi hai to muqaddar k baraber wo tha. . !

Jee mein hai phir us nagar k baam-o-dar dekhain ‘Riyaz’. . !

Two Lines Poetry

Jee mein hai phir us nagar k baam-o-dar dekhain ‘Riyaz’. . !
Yaad aati hai wo surat deed ki dekhi hui. . !

Jahan baani se hai dushwaar tar kaar-e-jahan beeni. . !

Two Lines Poetry

Jahan baani se hai dushwaar tar kaar-e-jahan beeni. . !
Jigar khoo’n ho to chashm-e-dil mein hoti hai nazar paida. . !

Jalanay walay jaltay hi hain charagh aakhir. . !

Two Lines Poetry

Jalanay walay jaltay hi hain charagh aakhir. . !
Ye kia kaha k lou taiz hai zamanay ki. . !

Jalnay ko jalay hum bhi teri bazm mein lekin. .

Two Lines Poetry

Jalnay ko jalay hum bhi teri bazm mein lekin. .
Hum sokhta jaano’n ka kahin naam na aaya. . !

Jal bujhi shama to parwanay bhool gaye. . !

Two Lines Poetry

Jal bujhi shama to parwanay bhool gaye. . !
Kon aata hai kisi sokhta samaan k paas. . !

Jab gulista’n mein baharo’n k qadam aatay hain. . !

Two Lines Poetry

Jab gulista’n mein baharo’n k qadam aatay hain. . !
Yaad bhoolay huay yaaro’n k karam aatay hain. . !

Jin mein rachi hui thi muhabbat ki chashni. . !

Two Lines Poetry

Jin mein rachi hui thi muhabbat ki chashni. . !
Tu ne wo din ae gardish-e-ayaam kia kiye?

Jis phool k libas mein boo-e- wafa na ho. . !

Two Lines Poetry

Jis phool k libas mein boo-e- wafa na ho. . !
Us phool ko hadood-e-chaman se nikaal de. . !

Jab taiz hawa chalti hai. .

Two Lines Poetry

Jab taiz hawa chalti hai basti mein sir-e-shaam. . .
Barsati hain itraaf se pathar teri yaadain. . !

Jin pe tehreer thi qismat tery deewano’n ki. . !

Two Lines Poetry

Jin pe tehreer thi qismat tery deewano’n ki. . !
Aisay auraaq bhi kuch baad-e-subk dast mein thay. . !

Chand lamho’n ka nahi ye umer bhar ka safar hai. . !

Two Lines Poetry

Chand lamho’n ka nahi ye umer bhar ka safar hai. . !
Raah ki partaal kar le, rahber ko dekh lay. . !

Chasm-e-dil khol is hi aalam per. . !

Two Lines Poetry

Chasm-e-dil khol is hi aalam per. . !
Yaa’n ki auqat khuwab ki si hai. . !

Chali hai jaan yaad-e-raftaga’n mein. . !

Two Lines Poetry

Chali hai jaan yaad-e-raftaga’n mein. . !
Musafir hai talash-e-karwa’n mein. . !

Churi ki dhaar se katti nahi charagh ki lou. . !

Two Lines Poetry

Churi ki dhaar se katti nahi charagh ki lou. . !
Badan ki maut se kirdaar mar nahi sakta. . !

Chashm-e-mushtaaq hua hai mera har zakhm-e-junoo’n. . !

Two Lines Poetry

Chashm-e-mushtaaq hua hai mera har zakhm-e-junoo’n. . !
Mosam-e-gul se kaho aaj idhar se guzray. . !

Chashm-e-tarr mein lahu ki koi boond nahi. . !

Two Lines Poetry

Chashm-e-tarr mein lahu ki koi boond nahi. . !
Jaan-e-man hum wuzu karain kaisay. . !

Chankay aangan mein nat koi kangna. . !

Two Lines Poetry

Chankay aangan mein nat koi kangna. . !
Hont per bansuri sadaa se hai. . !

Chaand un k liye haseen hai boht. . !

Two Lines Poetry

Chaand un k liye haseen hai boht. . !
Haan jinhain koi ghum nahi hota. . !



No comments:

Post a Comment